kuch iss qadar neend meri aankhon mai, maano sapno ki patri par se utri, teri baahon mai aa giri. shayad ye nazar ka dhokha, ya phir kismat ka woh khelβ kya sach, kya khwaab, ek kitaab ka woh pannaβ sambhlna mushkil, teri aankhon man samana namumkin.
lekin likha har lafz dohrata, wahi sur, wahi taal, aur wahi geet. mera gungunana, tujhe sunana, aur tera naam mere hoton par aate hi sharma jana.
khwabon mai hi sahi, kam se kam kareeb toh *** tere. asliyat mai kaha mauka, kahan ijazat, jab kareebi teri kisi aur ke saath, aur naseeb mera, mera haath pakde hue.