Bin kuch kiye Saza mili kuch asi Jis Bharat ne panha di thi unhe dharam ke naam pr kalik unhone poti
Kya unhe keval dharam hi dekha Ankho mai ansu ka mol na sikha Kya fayda us jeet ka Jisme manavta ka roop na dikha Jeet bhi jaye agar To kya abad hai ye Jinhe poojte hai ye Onhe bhi swikar nahi ye. Kisi ne baap khoya Kisi ne pati kisi ne apna beta koya Aur kisi ki ishwar se astha miti..
Kya yahi sikhlata hai ye dharam Kya Begunaho ko saza dilata hai ye dharam Kya manavta ka andhkar hai ye dharam Ya ishwar dwara diya ak abhishap hai ye dharam
Saval kayi hai man mai Aur ** bhi kyu na Jinhe Bandhu mante the ham Jinke paksha ke liye lad jate the hm Aj vahi Nazar giraye khade hai Ab kis baat ke nishkarsh pai aye hm?
Meri samaj mai to Dharm vahi Jo sahi galat mai farak batye. Jo manushyata ka arth batye Jo sikhye saman dena Jo bataye ishwar ka pana..
From core of my heart Incident:- Pahalgam attack..