Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Feb 9
Pahadon Ke Piche Ki Duniya

Behti nadiyan, geet sunaye,
Lehron mein chandni angdai le aaye.
Sabz wadiyan baatein karein,
Hawaon ki palkon pe sapne dharein.

Chhupaa hai yahan ek jahaan naye rangon ka,
Jahan har manzar hai angan guliston ka.
Aasmaan bhi jhuk kar kare guftagu,
Badalon ki chadar tale khwab ** jaaye tu.

Kya yeh haqeeqat hai ya ek dastaan?
Ya hai mohabbat ka koi paighaam?
Milega wahan ja kar hi inka jawab,
Jahan har shai kare husn ka izhar.

Kehte hain, yeh jannat ka ek aaina hai,
Jahan jamal bhi hai aur kamal bhi shana hai.
Hawaon mein ghulay hain afsane kayi,
Har phool sunaye naghme naye hi sahi.

Barson se thi jis pal ki raah,
Aye rohaniyat! Dekh ab woh nigah.

— Rohaniyat
Written by
Rohaniyat  23/F/Kishtwar
(23/F/Kishtwar)   
47
   Rohaniyat
Please log in to view and add comments on poems