Aatanki ko, Alagaavvadi ko Koi chetahavni dena Bahut badi bhul he.
Mauka mile to Mita do uska mool, Chata do Usko dhul , taki jhelnaΒ Β na paden, aur adhik shul.
Aatanki ek Gumrah shakhs hota hai , jab vah alag thalag pad jata hai , To samaj Ko khandit karna chahta hai.
Vah Apne bhitar ke Tanashah ko Jinda rakhna chahta hai . Satta pratishthanon ko Jhukana chahta hai. Desh samaj ki Asmita ko Dhul mein Milana chahta hai.
Aatanki Kabhi deshbhakt nahin hota. Beshak vah hardam ek nakab audhe rakhta hai. Kabhi kabhi vah Desh bhakti ka Chadam aavaran audhe , Desh duniya Ko kamjor karna chahta hai.
Tum uske iradon ko samjho. Apney ko halaton ke mutabik dhalo. Khush fahmi mein rahakar Khud Ko musibat mein na dalo.