Jab b puch lo kyu udas hai Koi baat nahi kehta hai Kya kho gya hai uska jo door desh me dhoondta hai Sans is zami me hai To vha ku ghumta hai. Muje fark yun padta hai Ku Maine is chand ko haste hasate dekha hai. Ladte jhagadte roothte manate dekha hai. Us chand Ka taqiya b uski ankho ki nami mehsus karta hai. Bhai jan to hai par aapi ammi ki kami mehsus karta hai.
Vo vha aasman ki talash me gya hai Apne sapno k jahan ki talash me gya hai.
Ab use is shehar ki chamak b raas ni aati Kabhi bethkar sochta hai k is shehar kash na aati.
Maa ki panv ki jameen ko jannat hai janta hai. Jo samne se jhagdta tha phone pe ammi Ka Sab kha manta hai.
Us chand Ka dil b toota hai kisi se keh ni paya Sab kuch saha Akele Bas Roye bina reh na paya
Ab Dard kam hai Bas kasak baki hai Khalish baqi hai jakhm pe thoda namak Baqi hai.
Or Hume intezar hai k vo chand Jane ab Kab hasega
Kab utha k tasveer zindagi ki usme rang bharega
Chudi bindi mehndi libaz Sab shaunk thode kam ** gye hai Ye Sab dekh k hairan hum ** gye hai
** skta hai ye likha b use na pasand aye ** skta hai nazarandaz kare ya nazarband kar jaye
Hume yakin hai vo Khud k Masle hal kar legi Sabr or dua dono mile h use aj ni to kal kar legi
Dhal jayega jald vo saya jo chand pe aj betha hai. Ek chand gumsum sa hai Door desh rehta hai. Ek chand gumsum sa hai Door desh rehta hai.