Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar
Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha
Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar
jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi
Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar
Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan
Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar
jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the
Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!!