HePo
Classics
Words
Blog
F.A.Q.
About
Contact
Guidelines
© 2024 HePo
by
Eliot
Submit your work, meet writers and drop the ads.
Become a member
Ain
Poems
Sep 2020
Faasle
Kuch fasanon ko afsana hi bana rehne do...
Behtar bhi yehi hai ke yeh ishq fana rehne do....
Haan yeh Maana ke Jab dil ke taar jud jaate hain....
Un dilon mein phir shanasaaiyan badh jaate hain...
Par Jab ek din unki rahon ko juda hona hai....
Har qadam par phir unko to kuch khona hai....
Aise rishte pe ek lagaam si hi rehne do. ....
Sabr karlo saqi ke jaam dhara rehne do. ...
Faasle bante hain to badh ke inhe badhne do...
Wasl ke khwaab ko libaas e hijr se sajne do...
Haan woh tha ek deewana aur uski Noor thi tum. ...
"Ain" mein uske basi past e shakl e **** thi tum....
Ashk ki shakl mein ab aankh mein bas jaane do....
Aaine aab mein dayam use kho jaane do....
Written by
Ain
40/F/UAE
(40/F/UAE)
Follow
😀
😂
😍
😊
😌
🤯
🤓
💪
🤔
😕
😨
🤤
🙁
😢
😭
🤬
0
442
Please
log in
to view and add comments on poems