Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2020
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka...
Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha...

Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta...
Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha...

Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha...
Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta...

Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha...
Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota...

Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta...
Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata...

Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana...
Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha...

Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha
Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara.....

Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha...
Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya...

Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya...
Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya...

Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana...
Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha...

Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha..
Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
Ain
Written by
Ain  40/F/UAE
(40/F/UAE)   
857
 
Please log in to view and add comments on poems