Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aug 2020
Choti woh chidiya albeli
Pyaari si aur badi niraali
Nazhukh si pali , kuch dil ki bholi
Uskey par jaise rangoli.

Chote chote they  uskey sapne
Jinhe wo sanwaare aankhon mein apne
Chaahe ki liye pankh bade woh
Bas udjaaye neele Gagan mein

Aakhir mein jab waqt wo aaya
Lekar pankh ko udjaane ka
Aansu lekar baabul se boli
Ye na mujhse  ** paayega

Baabul ne uski narm si aankhe
Dekh ke usko ye poocha sawaal
Beti , tu kyu apne app ko rokey?
Kyu udhney key  nahi khayaal?

Sunkar apni baabul ki boli
Dheere se chidiya ab doli
Tab lagta tha jo ek sapna
Aaj wo ** gaya hai choor.
Kya mere do pankh ye chote
Udh paayenge uthnee door?
Itna bhi mat karna  guroor
Na Karo mere dil ko majboor
Rehne do mujhe tumhare paas
Phir na rakhungi mein koyi bhi aas.

Baabul ne chidiya ko sehlaaya
Usey apne dil se laggaya.
Jo sapno se  tuney man  ko behlaaya
Usko paane ka waqt hai aaya.
Chota mat kabhi kudhko samajhna
Bas yuhi pankh lekar udhjaana.
Udhna hi hai tera naseeb
Rakhna hamesha usey dil ke khareeb .
Aasman dekhe raah tumhara
Likhdo uspar naam tumhara .

Phir Chidiya ne lee aisee udaan
Bharliya aanchal mein aasman ke rang
Baabul ne dee usey bidaayi
Bhar aayi aankhein, raha gaya wo dang.
Written by
Veena Iyer
651
 
Please log in to view and add comments on poems