Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
May 2020
Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa
Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi,

Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa...
Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi,

Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa
Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi,

Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa...
Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi,
Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine
Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi,

Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse
Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi,

Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa
Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi,

Maa teri meri yadein boht achi thi
Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi,

Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi,

Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai
Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai,
Bachpana samjho ya nadaniya samjho
Par tere hi aggey hua karti thi,

Tu Maa thi ya meri dost thi
Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi,

Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai,
Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa,

Qki maa teri meri yadein bht achi thi
Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi.

Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa..
Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa,

Sach Drr lagta hai duniya se maa ab
Jee paungi ya tut jaungi mai ab,

Kitni bholi thi maa tu humesha se
Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi,

Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi
Toh kick tu hi mara karti thi,

Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu
Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi,

Itni sachi aur achi maa thi tu
Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi,

Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se
Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse,

Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko
Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko,

Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye
Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye
Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere
Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye,

Maa bharosa kar mera
bharosa nahi todungi tera
Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
Geetanjali dogra
Written by
Geetanjali dogra  28/F/Faridabad
(28/F/Faridabad)   
5.6k
 
Please log in to view and add comments on poems