Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nov 2019
29 August ko hui thi pehli mulakaat,
Taraste they sunne ko wo unki aahat.

5 september ko hui unki dosti,
Ek ladki jo shaadi se bhut darti.

Intezaar mein baithe rehte they wo,
Baar baar niharte shayad koi paigaam aaya **.

Hokar mayoos fir laut jaate,
Maheeno baad messages ke reply aate.

Bhut intezaar kara hai mahadev ne,
Milne ko apni shivani se.

Izhaar tou bhut baar kiya tha unhone,
Har baar mazak mein taal diya pagli ne.

Wo bhi bhut pyaar karti thi,
Par haa mein jawab dene se darti.

9 maheene tak intezaar karaya,
Fir ek din bn gyi unka humsaaya.

Tham liya ek duje ka haath,
Dene ke liye janam janam ka saath.

31 may zindagi ka sabse khaas din,
Ek pal bhi guzar nahi sakte bin.

Chand ko pyaari hai chandni jaise,
Dil se dil jude hain aise.

Chahe meelon dur hain wo,
Mehsoos kar skte hain ehsaaso ko.

Ek aisi pavitra paak rooh hai unki,
Khuda smjh ibadat kr sakti.
2.6k
 
Please log in to view and add comments on poems