Hello Poetry
Classics
Words
Blog
F.A.Q.
About
Contact
Guidelines
© 2024 HePo
by
Eliot
Submit your work, meet writers and drop the ads.
Become a member
Sonia Manish Shrivastav
Poems
Nov 2019
Rishtey ki khubsurti
Chehra tou har koi padh hai sakta,
Aankho mein nami dekh udaas hai kehta.
Koi khaas hi hota jo muskaan ke peeche dard padh leta,
Kitna pareshaan hai sab bta deta.
Rooh se rooh ka rishta jab jud jaata,
Masoomiyat ki khubsurati haii sabse pyari ada.
Izaat shohrat rutba sab ammeri taaqat,
Kisi ke chehre par muskaan lana sabse bdi daulat.
Mere yaar sa khubsurat tou chand bhi nahi,
Chand ne chandani ki kasam kha ye baat kahi.
Unka dil itna khubsurat hai jiski koi nahi misaal,
Unke baare mein kya kahe wo tou hai hi bemisaal.
Surat se acchi seerat honi chahiye,
Unke lafz ki mithaas hanji kahiye.
Log kehte hain zameen par kisi ko khuda nahi milta,
Shayad unhe aap jaisa kabhi koi nahi mila.
Diye tou aandhiyon mein bhi jal jaate,
Phul tou kaaton mein bhi khila karte.
Khushnaseeb hote hain wo log jinhki zindagi,
Mein aap jaise dost hote bn jaati dosti bandagi.
Written by
Sonia Manish Shrivastav
Follow
😀
😂
😍
😊
😌
🤯
🤓
💪
🤔
😕
😨
🤤
🙁
😢
😭
🤬
0
1.1k
Please
log in
to view and add comments on poems