H'llo Poetry
Classics
Words
Blog
F.A.Q.
About
Contact
Guidelines
© 2025 HePo
by
Eliot
Submit your work, meet writers and drop the ads.
Become a member
Sonia Manish Shrivastav
Poems
Nov 2019
Chahat -e- ibadat
Aapse hi har subah ** meri aapse hi har shaam,
Saans ke katre katre mein samaya hai bs aapka naam.
Achha lagta hai jis qadar pawah karte ** aap humari,
Ishwar aapki jholi mein daal de khushiyan dher saari.
Itne khushnaseeb hain hum ye baya nahi kar sakte,
Meri zindagi, meri jaan meri rooh hai sirf aapse.
Khuda ka tarasha hua sabse anmol farishta **,
Qismatwale hain hum jo mile aap humko.
Aapke har kadam par saath hai aapki mahiya,
Beintehaa mohabbat hai aapse saathiya.
Jis din milengi rooh ki rooh se nazar,
Jaane jaan pe kya hoga asar.
Rakhenge humesha aapko dil mein,
Bhar lenge aapko baahon mein.
Aapse pyaara nahi hai koi sanam,
Saath hai hum aapke janam janam.
Aapki muskurahat hai taaqat meri,
Ye jaan sirf hai aapki sirf aapki.
Hum par haqq hai sirf aapka,
Aapki dadhkano se hai ye dil dadhakta.
Rabba is pyaar ko nazar lage,
Humari jodi humesha salamat rahe.
Meri zindagi meri har khushi hai aapse,
Aapko paakar mil liya us rabb se.
Mangu mai ishwar se aapki khushiyan hai meri ye bandagi,
Har janam bs aapke naam ye meri khubsurat zindagi.
Written by
Sonia Manish Shrivastav
Follow
😀
😂
😍
😊
😌
🤯
🤓
💪
🤔
😕
😨
🤤
🙁
😢
😭
🤬
0
1.5k
Please
log in
to view and add comments on poems