Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Nov 2019
Na hai humein chand ki chahat na hi taaron ki farmaiysh,

Aap mile har janam bs itni si hai humari khwaiysh.



Dil se sacchi mohabbat krte hain dil se nibhayenge,

Har mod par aap humein apne sang humesha payenge.



Sirf saath jeene tak ki mohabbat nahi hai humari,

Zindagi ke baad ki bhi zindagi hai tumhari.



Na hai humein chand ki chahat na hi taaron ki farmaiysh,

Aap mile har janam bs itni si hai humari khwaiysh.



Bahut kareeb se mehsus kiya hai aapko meelon dur hote hue bhi,

Ye ehsaas ki gehrayi sab par bhari hai chahe kitni ** duri.



Bhale hi laparwaah ** hum par aapki parwaah karte hain hadd se jyada,

Hey ishwar har dua mein bs yhi hu mangti humein karna nahi kabhi juda.



Na hai humein chand ki chahat na hi taaron ki farmaiysh,

Aap mile har janam bs itni si hai humari khwaiysh.



Hum zinda hain tou sirf unki badaulat,

Waasta hai tumhein humara kasam se ki hai sacchi mohabbat.



Ishwar ka Kohinoor hai hamare daaman mein,

Sabse gehra rishta hai is dil ka us dil se.



Na hai humein chand ki chahat na hi taaron ki farmaiysh,

Aap mile har janam bs itni si hai humari khwaiysh.
2.6k
 
Please log in to view and add comments on poems