Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dec 2012
Toote se ek gharondey mein
kuch daraar si hai
jahan se ek awara dhoop ka katra
ek parindey ko uske khwaabon se jagata hai
thoda alsata sa wo kuch ghabrata sa wo
darwaze ke paas jaake har baar palat jaata hai
Use dekh ke na jaane main kyun bechain hota ***
Fikr-e-akhirat mein apni shaksiyat ko khota ***

Uski udaan ki mayoosi se waakif meri pehchan bhi hai
thoda adhura wo khud hai
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

Band hai is shahar ki hawa,
Jeene ka kuch asar nahin mujhpe,
Kuch duur se ati koi awaaz, kahin yun hi kho jati hai,
Deewaron se takrakar,mere paas yun ati hai
Kis aur jaun, har simt se nawakif main aksar kho jaata ***
Andheri raaton mein akela khud ko pata ***

khud ke ehd ki zanjeeron mein, darakht si meri jaan bhi hai
thoda adhura main khud ***
thoda adhura mera aasmaan bhi hai

- طارق
Tariq Khan
Written by
Tariq Khan
11.3k
 
Please log in to view and add comments on poems