Aao sathiyo Mai tumhe thoda sa vyapar sikha du Machino ki is duniya Mai bikta Ye insan dikha du Suraj se Brahmand tak fir Prithvi se Ye chand tak Kahaniyo k Mai aj hazaro gulistan bicha dun Aao sathiyo Mai.... Badal raha h waqt Ye Yaro badal rahi h duniya Badalti is duniya Mai sambhalta Mai insan dikha du Aao sathiyo Mai... Hai daud yaha par paise ki paise ka mayajaal h Hota ik pal Mai idhar udhar kaisa bedhangi kamal h Kamaal ki is sajish ka Mai tumhe sartaaj bata du Aao sathiyo Mai... Tum dhund rahe the aj jise kal Mai kese mil jaega Jo kho chuka vo ** chuka tu khud ko kese batlaega... Mai batlata hu tumhe ab tum ko bhi Ye chaal sikha du Aao sathiyo Mai...