Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dec 2017
Ye sab sach hai, geet nahi hai

Tadpan, peer, udaasi, aansoo,
baichaini, upwaas, amawas,
ajab preet ka mausam man mein patjhar hai,
nayano mein pawas,
is almast jugalbandi se bahar,
kuch bhi preet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai….



Log mile kitne angaaye,
kitne ulajh ulajh suljhaaye,
kitni bar darane pahunche,
aankhon tak kuch kaale saaye,
jo in ka yugbodh na samjhe,
sathi hoga meet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai…..

Apmaano ki saras kahani,
jag bhar ko hai yaad jubaani,
aur vijay ke udghoshon par ,
duniya ki yun aanakaani,
khud se alag lade yuddhon mein jeet mili,
par jeet nahi hai,
ye sab sach hai,
geet nahi hai….
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
  2.3k
 
Please log in to view and add comments on poems