Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sep 2015
Tha mai neend me
or mujhe itna
Sajaya jaa rhaa tha
bade pyar se mujhe
Nahlaya jaa raha tha,

Naa jane
tha wo kaun saa ajab khel
mere ghar me
Baccho ki tarah mujhe
kandhe par
Uthaya jaa raha tha,

Tha paas mera
har apana uss waqt
fir v mai
har kisi ke man se
Bhulaya jaa raha tha,

Jo kabhi
dekhte v naa the
Mohabbat ki nigahoo se
unke dil se v
pyar mujh par
Lutaya jaa raha tha,

Maalum nahi
kyu hairaan tha har koi
Mujhe sote hue dekh kar
jor jor se rokar
Mujhe jagaya jaa raha tha,

Kaap uthi meri ruh
wo manjar dekhkar
jaha mujhe
Humesha ke lie
Sulaya jaa raha tha,

Mohabbat ki intaha thi
jin dilo me mere lie
Unhi dilo ke haatho se
aaj mai
Jalaya jaa rha tha!!!!!
Copyrightยฉ Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook - https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
  6.8k
   Shrivastva MK and Aarushi Vijay
Please log in to view and add comments on poems