Maa ki mamta ko dekh maut v aage se hat jati hai gar maa apmanit hoti dharti ki chaati fat jaati hai ghar ko pura jeevan dekar bechari maa kya pati hai rukha sukha kha leti hai paani *** kar soo jati hai
Jo maa jaisi devi ghar ke mandir me nahi rakh sakte hai wo lakho punya bhale kar le inshan nahi ban sakte hai maa jisko v jal de-de wo paudha sandal ban jata hai maa ke charno ko chukar paani Gangajal ban jata hai
Maa ke anchal ne yugo-yugo se Bhagwano ko pala hai maa ke charno me jannat hai Girijaghar aur Shivala hai Himgiri jaisi unchai hai sagar jaisi gahrai hai dunia me jitni khushboo hai maa ke anchal se aaye hai
Maa kabira ki sakhi hai maa tulsi ki chaupai hai meerabai ki padawali khusru ki amar rubai hai maa angan ki tulsi jaisi pawan bargad ki chaya hai maa ved richao ki garima maa mahakavya ki maya hai
Maa maansarovar mamta ka maa gomukh ki unchai hai maa parivaro ka sangam hai maa rishto ki gahrai hai maa hari dubh hai dharti ki maa keshar wali kyari hai maa ki upma kewal maa hai maa har ghar ki phulwari hai
Saato sur nartan karte jab koi maa lori gaati hai maa jis roti ko chu leti hai wo prasad ban jati hai maa hasti hai to dharti ka jarra-jarra muskata hai dekho to dur kshtiz ambar dharti ko sheesh jhukata hai
Mana mere ghar ki deewaro me chanda si murat hai par mere man ke mandir me bas kewal maa ki murat hai maa saraswati lakshmi durga ansuya mariyam sita hai maa pawanta me ramcharit manas me bhagwat geeta hai
Amma teri har baat mujhe vardaan se badhkar lagti hai he Maa teri surat mujhko bhagwan se badhkar lagti hai saare teerath ke punya jaha mai un charno me leta hu jinke koi santan nahi mai un maawo ka beta hu
Har ghar me Maa ki puja ** Aisa sankalp uthata hu Mai dunia ki har maa ke Charno me ye sheesh jhukata hu.....