Jab aankh khuli to amma ki godi ka ek sahara tha uska nanha sa anchal mujhko bhumandal se v pyara tha..... uske chehre ki jhalak dekh chehra phulo sa khilta tha uske stan ki ek bund se mujhko jeevan milta tha haatho se baalo ko noocha pairo se khoob prahar kia phir v us maa ne puchkara humko jee bhar ke pyar kia
Mai uska raja beta tha wo ankho ka tara kahti thi mai banu budhape me uska bas ek sahara kahti thi ungli ko pakad chalaya tha padhne vidlaya bheja tha meri naadani ko v neej antar me sadasaheja tha
Mere saare prashno ka wo fauran jawab ban jaati thi meri raho ke kaante chun wo khud gulaab ban jaati thi mai bada hua to college se ek rog pyar ka le aaya jis dil me maa ki murat thi wo ramkali ko de aaya
shaadi ki pati se papa bana apne rishto me jhul gya ab karwa chauth maanta hu maa ki mamta ko bhul gya hum bhul gye uski maamta mere jeevan ki thati thi hum bhul gye apana jeevan wo amrit wali chaati thi
Hum bhul gye wo khud bhukhi rah karke hume khilati thi humko sukha bistar dekar khud geele me soo jaati thi hum bhul gye usne hi hotho ko bhasha sikhlayi thi meri neendo ke lie raat bhar uss maa ne lori gaayi thi
hum bhul gye har galti par usne danta samjhaya tha bach jau buri najar se kala teeka sada lagaya tha hum bade hue to mamta wale saare bandhan tod aaye bangle me kutte paal laye maa ko vridhaashram chod aaye apano sapno ka mahal girakar kankar -kankar been laye khudgargi me uske suhag ke aabhushan tak cheen laye
Hum maa ko ghar ke batware ki abhilasha tak le aaye usko paawan mandir se gaali ki bhasha tak le aaye
to be continued ........(next part may be in next week)