Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Feb 2015
Mai bhav suchi un bhavo ki
jo bike sada hi bin tole
Tanhai hu har us khat ki
jo padha gya h bin khole..

Har aanshu ko har patthar tak
pahuchane ki laachar huk
Mai sahaj arth un sabdo ka
jo sune gye h bin bole..

Jo kabhi nahi barsha khul kar
har uss badal ka paani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki Ram kahani hu..

Ki jinke sapno ke Taj -Mahal
ban ne se pahle tut gaye
Jin haatho me do haath kabhi
aane se pahle chut gaye
Dharti par jinke khone aur
paane ki ajab kahani h
Kishmat ki devi maan gye
par pranay devta ruth gaye..

Mai maili chadar wale uss
Kabira ki amrit vaani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki raam kahani hu..

Kuch kahte hai mai sikha hu
apne jakhmo ko khud see kar
Kuch jaan gaye mai hashta hu
bhitar bhitar aanshu peekar..

Kuch kahte hai mai virodh se
uppji ek khuddar vijay
Kuch kahte hai mai marta hu
khud me jeekar khud me markar..

Leekin mai har chaturai ki
sochi samjhi  naadani hu
Lav-Kush ki teer bina gaye
Sita ki Ram kahani hu
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Shashank K Dwivedi
Written by
Shashank K Dwivedi  27/M/Guwahati
(27/M/Guwahati)   
9.3k
   ---
Please log in to view and add comments on poems