ANDEHRA BAHUT GEHRA THA...........
chandani bhi thi...kuch sitare bhi the..par na jane kyu ...Andehra bahut gehra tha
Madhushala damak rahi thi andhe musafiron ki pukaar mein..par aawaz mein prem nahi tha bass thi do pal ke sukh ki duhai...
soot boot wale bhi aa rahe aur gir pad ke jaa rahe..
kuch motor pe aye the ussi par chale gaye....
andhe thee sab shayad...ya roshini ne andere ko chupa diya tha....kyki meine dekha tha...andehra bahut gehra tha.
madushala ke deewar ke par ek baachi roo rahi thi vo zindagi ki bhik mang rahi thi
na jane usne koon sa dukh dekha tha.....uski aanke laal aur maan bhari saa lag raha tha
Na vo matvale dekh paye na hum madhosh sunn paye uski pukar kyuki.... andehra bahut gehra tha
do matwalone uuse paise de chale..par kya vo uska guzara tha
kyuki sooch ke dekhiye andehri raat madhushala ke par vo baachi akeli thi
vo madhushala abhi bhi khadi hai..hamare dilo mein
shayad humne uska bachpan chiina
shayad vo andehra uske dukh ko chipa raha thi
vo raaat bahut kali thi..hawa matwali thi...uss raat aur anne wali raat andehra bahut gehra tha