Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Neeraj katta Apr 2019
aaene me dekh kar me apane wajud ko sawal karta tha
ke me kya hu
jawab me aaene kehta ke galtio ka putla hu insaan hu me.
nk
Neeraj katta Apr 2019
ab to yaado bas talash uski hai
dil me dabi koi baat uski hai.
sawal nahi karta zamana bhi
kyu ke mere liye jawab uske hai.
jab maan kiya tum chale ate **
ab raahe takti ankho me aas uski hai
nk
Neeraj katta Mar 2019
W/o kehti hai
Suno jaana
Tumhaare lafz lafz me dil ki dhadkan chupi lagti hai
Tum Mara naam usme shumar kardo
Me kehta hu
Mere har lafz me basa karta hai tera naam
Dil ki dhadkan to tere naam ki saanse liya karti hai
Nk
Neeraj katta Feb 2019
mene use apna yaar hote dekha he

gazab ka dhoka he dil pe waar hote dekha he

sapna sa tha shayad jo hakikat bana

fr mene har sapna taar taar hote dekha he

baate karta tha mujhse pyar or mohbbat ki

dosti ki had me tha me
par pyar hote dekha he

bichda me jab usse dil
be-karar hote dekha he

jeeti har baazi zindgi me
pyar me haar hote dekha he

yaado me bulate he mitti ki surat banate he

tasveer badlo me banate
to hawao ke palat waar hote dekha he

hamne pyar kiya tha kabi

ab pyar hote dekha he

ab pyar hote dekha he

nk
Neeraj katta Feb 2019
Nahi hota

Na Jane konsi dawa e thi
Na Jane konsi dua a thi
Mohbbat ki lagi bimarrio ne
Mere sare dard mita diye
Ab mujhe ikraar nahi hota
Mujhe inkaar nahi hota
Ha mujhe ab pyar nahi hota.
Majhe ab pyar nahi hota.
Nk.
Neeraj katta Feb 2019
Mene tamam umar me dekhi aisi zindgi.
Nanga badan ,bhuka insaan or maili thi chadar kahi .
Maa ne aankho pe aanchal dal kar ye keh diya mujhe .
Khushiya hai udaasi haai ghum bhi hai tu dekhle.
Duniya me tum maa jaisa paoge na fir kahi.
Nk
Next page