Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"wahi" poems
Zindagi ko jina sikh lo, Zindagi se ladna sikh lo, Hausla rakho sabse uper, Zindagi me jitna sikh lo, Bana do apni ek alag pahachan, Naam wahi par kam alag ** Visva me tumhara ** ek alag kirtimaan, Karke apne kul ko rausan, hansna aur hansana sikh lo, Zindagi ko jina sikh lo, Dikha do duniya ko Kanto jaisi raho par chalkar, Pa lo apni manzil ko Ek misaal bankar, Etihas ke panno pe apni pahchan likh do, Safal hokar jeevan me tum Zindagi ko jina sikh lo, Zindagi ko jina sikh lo....
0
Jun 10, 2015
Jun 10, 2015 at 7:25 AM UTC
ZINDAGI KO JINA SIKH LO....
Hey Suraj itna yaad rahe Sankat ek Suraj Vansh pe hai Lanka ke neech Raahu dwara Aaghat Dinesh Vansh pe hai Mere aane se pahle yadi Kirno ka Chamatkar hoga To Surya Vansh me Suryadev Nischit hi Andhkar hoga Islie chipe rahna Bhagwan Jab tak naa Jaddi Pahuncha du mai Bas tabhi Prakat hona Dinkar Jab sankat dasha mita du mai Aasha hai swarth Prarthna ye Sacche jee se Swikaaroge Aatur ki Praan Awastha ko Hokar karunardh Niharoge Anyatha chhama karna Dinkar Anjani tabay se paala hai **Bachpan se jaan rahe ** tum Hanumat kitna Matwala hai** Mukh me tumko dhar rakhne ka Fir wahi krur saadhak hoga Bandi fir mochak tab hoga Jab Lakshman ka dukh mochan hoga
0
Oct 11, 2015
Oct 11, 2015 at 3:49 AM UTC
Hanumat kitna Matwala hai
Ek muskaan sa ek saath sa Bhai hai wo is naadan ka Har pal har ek pal jisne haathon ko thame rakha Durr hokar bhi jisne zindagi bhar ka saath rakha Naa chahte hue bhi jisne Humari har ek jarurat ka khayal rakha.. Wahi toh h ek muskan sa ek armaan sa Pyaara bhai h wo is nadaan ka Baaton ki gudgudi se hasana Ruthne par haskar manana Pal pal ki khushi se Naa jaane kitne ka din banana Haa muskan sa, nahe khawaab sa Bhai h wo is naadan ka Is naadan ne bhi socha na tha ki aisa bhi hota hai Koi itna durr hokar bhi itni saralta se apnata hai Chand baaton se Kisi anjaan ko apna bananta hai Ek muskan sa, hamesha rahe muskan sa pyaara pyaara bhai h wo is naadan ka.....
0
Aug 30, 2018
Aug 30, 2018 at 2:28 AM UTC
Ek muskan sa, ek saath sa( happy birthday bhai)...
Asia ke hum parinde, Aasma hai had hmari, Jante hai chand suraj, Jid hmari zad hmari, Hum whi jisne samander ki, lehar par baandh sadha, Hum whi jinke ke liye din, rat ki upji na badha, Hum ki jo dharti ko mata, maan kar samman dete, Hum ki wo jo chalne se pehle, manjile pehchan lete, Hum whi jo sunya main bhi, sunya rachte hain nirantar, Hum whi jo roshni rakhte, hai sabki chaukhto par, Un ujalo ka wahi, paigam le aye hai hum, Hum hai desi hum hai desi hum hai desi, Ha magar har desh chaye hai hum. Zinda rehne ka asal andaz, Sikhlaye hai humne, Zindgi hai zindgi ke, Baad samjhaya hai humne, Humne batlaya ki, Kudrat ka asal andaz kya hai, Rang kya hai roop kya hai, Mehak kya hai swad kya hai, Humne duniya mohbat, Ka asar zinda kiya hai, Hmne nafart ko gale mil, Mil ke sharminda kiya hai, In tarrki ke khudao, Ne to ghar ko dar bnaya, In pde khali makano, Ko hmi ne ghar bnaya, Hum na aate to taraki, Is kadar na bol pati, Hum na aate to ye duniya, Khidkiya na khol pati, Hai yasoda ke yha par, devki jaye hai hum, Hum hai desi hum hai desi hum hai desi, Ha magar har desh chaye hai hum.
0
Mar 10, 2015
Mar 10, 2015 at 3:53 PM UTC
HUM HAI DESHI
Barsat ki Ek raat dil ne dimag se pucha, jo Badal raha wo 'waqt' hai? waqt to Aaj bhi waisa he hai bachpan me jaisa hota tha wohi savera wahi sham Or baki cheeje tamam Par tab naa bhigne se lagta tha darr or naa sardi jukam, or wo pani ki shrarate tamam Jinki Yaad bhar se aa jati hai hothon pe muskan par ab aisa kya hua jivan ki iss Dagar me kahan bhatak gaya in jhuthe rit riwazo me Kaise jivan ke Arth badalte gaye Kyo ek funny poem likhne wale Emotional likhne pe majboor ** gaye Hawa k jharoko se kashti hilti gayi waqt k sath mein tau badlta gaya aur yeh zindagi chalti rahi pal pal nayi hasratein har pal naye khwab bunti gayi aur yeh zindagi chalti gayi raah mein manzar tau bahut aaye bulate rahe mujhe mere saaye mein tau ek pal ko ruk sa gaya par yeh zindagi chalti gayi yaadon k saaye mein zinda *** abhi lagta hai tham sa gay *** mein kahin par zindagi bewafa sanam si nikli mein tau ruka reh gaya aur yeh chalti gayi jindagi har pal apne arth badalti rahi ham hanste rahe chahhe rote rahe par woh apni rafataar se bas behati rahi kabhi ban ke sawal ,kabhi ban ke utar woh  hame har mod per milti rahi ham tutate rahe, bikharate rahe  fir khud hi gir ke sambhalte rahe aur jindagi yun hi jalti bhujhati rahi gum mile kuch is tarah ki gum hi gum na lage khushiyuon  ki baat bhi hame gum ban ke milti rahi kya kare kisi se shikva, kya kare kisi se shikayat apne hi jab todate rahe...... toh saans meri har pal ghutati rahi bas jindagi yuh hi chalti rahi har pal apne arth badalati rahi
0
Jun 6, 2018
Jun 6, 2018 at 1:35 PM UTC
Badalti zindagi

Continue reading...
39
Ai dil tu etna beqarar kyon hain, Jise kabhi na thi teri fikra wohi tere liye aaj khas kyon hain, ai dil tu etna beqarar kyon hain. .. Gam ke saye me ghut ghut ke ji raha hoon, aanshuo ko apne jaam ki tarah pi raha hoon, phir bhi meri aankhon me teri hi aas kyon hain, Ai dil tu etna beqarar kyon hain, Ai dil tu etna beqarar kyon hain.. aasman me tujhko dhundhta hoon, chand ki tarah tujhko pujta hoon, aankhon me teri jhalak ke liye ek kasak kyon hain, ai dil tu etna beqarar kyon hain, jise kabhi na thi teri fikra wahi tere lia aaj khas kyon hain.. tumhare lia jo sajaye the sapne humne, un sapno ko tor kahan chale gye tum, aaj bhi teri yaadon ke dil me mere ek khawab kyon hain, ai dil tu etna beqarar kyon hain ..
0
May 21, 2015
May 21, 2015 at 9:25 AM UTC
AI DIL TU ETNA BEQARAR KYON HAIN
Aate hai farishtey bankar, Rehte hai har waqt haath thamkar, Milta Hai anmol dosti ka vardaan jise, Phulo se sazakar rakhna use, Aate hai anzaan bankar, Rahte hai dilon jaan bankar, Sari hasratey pure ** jate hain, Jab wo pyare dost muskurate hain, Gum ke sagar mein dubne na dete Khushiyan ka paigaam hain bhejte Zindagi jeene ka maksad btate Pyaara sa sansaar hai chahte har pal ko khushnuma banate, Sahi galat ka ehsaas karate, Jo gumo me bhi saath nibhate hai, Wahi sacche dost kahlate hai, Khuda kasam kya khubsurat rishta hai dosti Phulo se mehakta bagicha hai dosti Yaaron ke bina adhuri hai zindagi Zindagi jeene ki wajah h dosti Written By Sonia Paruthi & Shrivastva MK
0
Oct 13, 2017
Oct 13, 2017 at 8:59 AM UTC
YAARON KI YAARI
Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Yaad hai mujhe aaj bhi wo pal maa Bimaar mai hoti thi taklif tujhe hua karti thi, Tu kabhi na bhuli mere khane ka samey maa... Qki maa tu hi toh khane ki plate mere aggey piche ghumaya karti thi, Wo teri aloo, pyaz wali khaniya maa Jisko sunn k sach mai maan liya karti thi, Kya khub sundarta thi tere bhole se chehre pay maa... Jo meri saheliya bhi gunn tera hi gaya karti thi, Maa ...qki teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Jab pehli baar un chote se hathon se chai bnayi thi maine Yaad hai , tu sab rishtedaro mai yahi gaya karti thi, Har baat k liye zidd bht ki Maine tujhse Par aakhir mai meri khushi k liye haa tu hi bharrti thi, Bht ladai ki sabne mere liye tujhse maa Lekin har pal sath khadi tu hi mila karti thi, Maa teri meri yadein boht achi thi Tu jo bhi kehti thi boht sachi thi, Bht si horror movies bhi dekhi tere sath maa aur tu kahani ka pehlu phele hi bta diya karti thi, Bht hase bhi sath mai roye bhi sath mai Aaj jab dekhti hu toh ansu apne aap nikal k beh jate hai, Bachpana samjho ya nadaniya samjho Par tere hi aggey hua karti thi, Tu Maa thi ya meri dost thi Qki tu bhi toh bacho jaise harketin kiya karti thi, Aaj bhi wahi tera chehra dikhta hai mujhe maa , teri wahi awaaz sunayi deti hai, Lekin bevas tu hai ya mai hu aisa mnn mera kehta hai maa, Qki maa teri meri yadein bht achi thi Sach mai Tu jo bhi kehti thi bht sachi thi. Wapas se wahi samhe jeena chahti hu tere sath maa.. Par sochti hu tu yaha ayegi ya mai waha au maa, Sach Drr lagta hai duniya se maa ab Jee paungi ya tut jaungi mai ab, Kitni bholi thi maa tu humesha se Qki jhuti ya sachi sab maan liya karti thi, Yaad hai mujhe aaj bhi jab scooty meri band hoti thi Toh kick tu hi mara karti thi, Wah kya paranthe aur rajma banati thi maa tu Jo saheliya hi sabse phele khaya karti thi, Itni sachi aur achi maa thi tu Warna mujh jaise nalayak bache ko tu hi sambhala karti thi, Maa dubara se wo maa sabd tere aggey tujhe bolna chahti hu fir se Kya tu dubara janam legi milne k liye mujhse, Ek baar toh ake gale lga le maa mujhko Fir se wahi pyara bacha bnke dikhaungi tujhko, Yaad hai maa mumma's lil girl ka tattoo maine bnwaya tha tere liye Lekin jab ghar pauchi toh dekhte hi dil baith gya tha mere liye Maa tu sda zinda rahegi dil mai mere Qki Sach keh rahi hu mera wajood hi hai tere liye, Maa bharosa kar mera bharosa nahi todungi tera Ab aa hi jana maa bacha hu tera.
0
May 14, 2020
May 14, 2020 at 12:18 PM UTC
Maa teri yadein....

54
Ye raste jane hume kis or le jate hai, Zara sa apnate hai kabhi, To kabhi begane lagne lag jate h. Ye tedhe-medhe ulte-sidhe raste, Kis gali kis nukad par mud jate hai, Jaha bhi ye mud jate hai wahi se naye mod ban jate hai. Har mod har dagar par ye naye kisse nayi kahaaniyan sunate hai, Kabhi haste hai hume to kabhi hume rulate hai, Kabhi kisi ki zindgi ki shuruat to kabhi kisi ke kahaani ka ant ban jate hai. Yehi to hai jo hume zindgi ke har naye-purane pahlu se rubaru karwate hai, Jo ye girate hai to uth kar fir chalne ka sabab bi to hume yehi samjhate hai, Ye raste hi to hai jo musafiro ko unki manzil ki or le jate hai. Jo kabhi hote hai naraz to paas bhi ye khud hi bulate hai, Apno ki ehmiyat kya hai is zindgi me yehi to hume btate hai, Hai apnate kisko kabhi to kabhi kisiko bhul bhi ye jate hai. Zindgi hai chalte rahne ka naam ye raste hi to hume yaad dilate hai, Har pal har ghari kuch naya hume sikhate hai, Jo milate hai kisise kabhi to kabhi kisiko dur bhi to yehi le jate hai. Or agar gaur se dekha aur socha jaye to, Zindgi ke mayine aur is hasin falsafe ka ehsaas  waqt be waqt aksar ye raste hi hume karwate hai.
0
Jun 12, 2020
Jun 12, 2020 at 2:38 PM UTC
Ye Raste
Har ek nadiya ke hoto pe samandar ka taraana hai, Yaha fariyaad ke aage sada koi bahana hai…! Wahi baatein purani thi, wahi kissa purana hai, Tumhare aur mere bich me phir se jamana hai…!! Kalam ko khhon me khud ke dubota hoon to hangama, Girebaan apnaa aansu me bhingota hoon to hangama, Nahi mujh par bhi jo khud ki khabar wo hai jamane par, Main hansta hoon to hangama, main rota hoon to hangama.
0
Feb 5, 2015
Feb 5, 2015 at 9:08 AM UTC
Hungama
Kis pe kru bharosa , Na khud pe yakeen hai . Manjil na mil paya , Or raahi bichar gaye Is dagar pe chal ke , Aayi thi itne dur Badi muskkat se Par ki thi ye dastur Har kar ruk gayi , Us manjil par, Jhaha kabhi ham roj chala krate the , Aaj ye jindgi wahi ruki Jisse ham dur rha krte the .... Jiss pe karu brosa na khud pe yakin hai.... Rohini
0
Jun 10, 2015
Jun 10, 2015 at 4:00 AM UTC
kaise kru yakin
Aa rahe wo din purane Kya tumhe kuch bhi khabar hai Aa rahi shaame suhani Kya tumhe kuch bhi khabar hai Aa rahi raatein wahi jab Milte the chupke se chat pe milke tera muskurana Chaand se raushan samaan mai Teri aankhon ki chamak thi Aa rahe.... Aankh mai aasun ke moti Chehre par khilti hansi thi gum tha jaane ka mere fir Chaunkhaton pe kyun ruki thi Rok leti tab mujhe tu Bus meri wahin khadi thi Aa rahe.... Ab jo tujhse mai juda *** Khud se hi mai kyun khafa *** Mil toh lete hai rojana aasmaan me jo basa *** Dekh upar taare ko us Sabse zyada jo chamakta Pyar hai usme wo mera Tujhse mai jo ab bhi karta Aa rahe.... Fir milenge bol kar mai Nikla tha ghar se akele dekh wada toh nibhaya Tirange mai khud ko lapete Rona mat tu dekh mujhe yun Haste mai mara *** Yaad teri sang mai leke Chaand ki seedhi chadha *** Aa rahe....
0
Apr 18, 2017
Apr 18, 2017 at 3:14 PM UTC
Aa rahe wo din purane
Kaise manaoon teri ruswaiyon ko Kaise samjhaoon apni tanhaiyon ko Ki tu ja chuki hai yoon chodd k mujhko Ki tanhai bhi ab meri mujhey chidhati hai Ki jis se thi itni mohabat tujhko Wahi bana *** hai tera yaar mujhko Laut ana bhool k apni ruswai ko Nahi to samajh lena bana lia hai maine dost apni tanhai ko
0
Aug 13, 2014
Aug 13, 2014 at 1:12 PM UTC
khayal
Meri pyari daadi maa, tumsa na h koi yaha. tum ** mera saara jahan, nahi kr skti tmhe shabdon m bayan. tum ** meri aan, tum ** mera amaan. tum ** mera gumaan, tumse ek baar fir milna, hai mera armaan. roz sapno mai dekhti hu tmhe, roz sapna toot jaata hai. Kab aaogi saamne mere, yahi soch soch ke ek aur din guzar jaata h. wahi chand sa chehra, wahi phool se muskan, rakhungi sada tumhe dil mai, banake apni shaan.
0
Jul 28, 2018
Jul 28, 2018 at 12:16 AM UTC
Dadi maa
Bin aapke ek pal raha nahi jaata, Dil ki dadhkano ko khuda hai jaanta. Is janam mein khushnaseeb hain aapko paakar, Khuda se duaein karte har janam aapko maangkar. Aapke liye agar taqdeer se bhi ladna pada, Khushi khushi ladegi aapki mahiya. Dukh ne sataya aapko tou saamne milegi aaapki sangini, Aapki rooh ko chhukar is rooh tak hawaein aapki khabar batati. Aapka naam lekar hi chalti hain ye saansein, Beintehha mohabbat hai humein aapse. Fikar nahi kariye, Jaan aye meriye. Jeet lenge apni mohabbat se sabko, Ek kharoch bhi nahi aane denge aapko. Ye dadhkane chalti hain sun un dadhkano ko, Aapki muskurahat dekhkar hi sukoon milta humko. Aapki aankho mein ashq ka ek katra tak nahi aane denge, Har janam hum sirf aur sirf aapke hi rahenge. Dur jaane ki baat nahi kara kijiye, Meri zindagi meri rooh aap hi ** jaan aye meriye. Aapke bin ye dil kahin lagta nahi, Jahan aap honge milenge aapko hum bhi wahi. Nazar na lag jaye kabhi tabeez bankar raksha karenge, Jis haal mein rakhoge aapke sang humesha khush rhenge. Aapse hi judi hain humari saari khushiyan, Duniya badi hai par mere liye aap hi ** meri duniya.
0
Nov 13, 2019
Nov 13, 2019 at 2:24 AM UTC
dil se dil tak
Nafrat hai mujhe us pyar se jo sirf **** se hote hai, Rang-roop nazane kitne kism se hote hai, Kahte hai log ki pyar tou hamesha adhura hota hai, Saccha pyar karke dekho jarur pura hota hai, Pyar me koi khwaish nahi hoti hai, Na koi sikayat, na koi farmaish hoti hai, Ye dhai akshar nahi shabdo ka bhandaar hai, Jo aapko jina sikha de wahi saccha pyaar hai, Kuchh tute-fute shabdo se aaj humne sacche pyar ko sazaya hai, Badi muskil se dil ko phir se pyar karne ke liye manaya hai,. Aankhen nam ** jati hai dusaro ka dard sunkar, Ro lete hai hum bhi ji'h bhar ke es duniya se chhupkar, Es duniya se chhupkar.......
0
Oct 13, 2017
Oct 13, 2017 at 8:31 AM UTC
SACCHA PYAAR...????
Chehre pe gira jo woh boond uske Jhalak ke aayi meri muskan aise Ke Bikhri hui zindagi mein baras baithe Khoyi hui aashaon ki baarish jaise Bhul na paunga woh din Pehli baarish jo bitayi thi saath mein Chaatha tha mere paas bhi Par ghus gaya tumhaare sang mein Ek choti chathri aur hum do uske neeche Bheeg rahe the hum aadhe aadhe Par aise bheegne ka mazaa he hai kuch aur Jab Aaghosh ke woh pal mile na kabhi aur Chalte rahe hum aahista apne bus ki or Kya batau kaise bitaye woh 5 minute Unke Bheege zulfein jo karr rahe the shor Chodke use apne bus mein Bheegta raha uss pal ki yaadon mein Aaj bhi Barsat jab bhi kare Chaatha lene ko majboor Yaad tumhari he karta hu Ke kaash tum hoti Ghus jaata tumhare he chatri ki chaav mein Pehli baarish ki un boondon ko chakhne Ke kya swad aaj bhi wahi hai Jo uss din chakha tha saath mein humne
0
May 19, 2020
May 19, 2020 at 12:17 PM UTC
Baarish ke woh pal
Chahe aaye aandhi ya fir koi tufaan , Kamzor nahi padegi hamari udaan . Chhaon ** ya kadakti dhoop , Nikhrega hamara naya roop . Lakh mushibat aaye nahi rukenge hum, Badhte jayenge yuhi hum kadam dar kadam, Rastey chahe kitni bhi mushkil kyon na ** Har mushkilo ko chirte hue ek din manzil tk pahuch jayenge hum Bheedh hamesha us raastey par hai chalti , Jahan ** na koi mushkil khadi . Par humne chuna hai raasta alag , Kyunki karna hai humne kuch alag . Itihaas rachna hai tou bhid se alag hona sikho, Paristithio se daro nhi paristithio ko badalna shikho, Ek din wo mukaam tumhe mil hi jayega, Dekh tumhari safalta ko ek din kismat bhi muskurayega, Mehnat ke bal par likhenge khud ki takdeer, Takleef ke hain hum mahaveer. Na chahat hai sitaron ki , Na tamanna hai nazaron ki. Sirf wahi log itihaas rach ke dikhaya hai, Jisne apne taklifon ko gale lagaya hai, whi log asafal rah jate hai, Jo mushkilo se darr tut jate hai, Har mushkil ka saamna kar , Pahuchna hai apni manzil ke shikhar par . Khamoshiyan sabra ka imtehaan ban gayi , Apne man mein Umeed ki jyot jag gayi . Hum wo hai jo Kismat par rote nahi Jo rote hai unke kuchh hote nahi, Mandabuddhi wala einstein tou paper wala kalaam kahlaya, Apne kaarnamo se hai vishwa me ek alag pahchaan banaya, Laakhon kasht aa jaye saamne , Hamara ishwar bada hai us har takleef ke aage . Musibaton se baghna na humne kabhi seekha , Hamari nanhi akhiyon ne bahut kuch hai dekha. Milkar humne ye thana hai, Naam nahi hume etihaas banana hai, Ab kisi bhi mushkil se na darna hai, Kyuki Hume kuchh alag karna hai, Kuchh alag karna hai.. Collab Poem by Sonia Paruthi & Shrivastva MK.....…....✍
0
Apr 8, 2018
Apr 8, 2018 at 12:35 AM UTC
HUME KUCHH ALAG KARNA HAI..(COLLAB. POEM)

43
school ke pehle Din mile the, Rote Rote Sab aye the par tum has rahe the. Usi baat se rote rote me chup hua tha aur wahi se dosti ka pehla chapter shuru hua. Padhai ke chor Hum washroom Break ke bahane aadha lecture bunk Krte the. Break me 15 ki sandwich aur 10 ka juice aur kaha koi kharche the. 7 bje se pehle agr barish hogi to scl nhi jaenge aur usi ki chutti Milte hi barish me jam ke nahaenge . Result ke din kiska Kam ayega uspe shart lagti thi aur agr uska zada Aya to ye sochke bht phat ti thi. Mere saamne shart harke Jeet ta hmesha tu hi Tha , kuch nhi pada yr bolke topper banta tu hi Tha... Jhuta saala!!. Pehli baar kisi ldki ko dekhte dekhte tumne mujhe dekh Lia tha ,uske saamne usi ke Naam se chidane ka zimma tumne le Lia tha . Teacher ne jab daat ke bahar hmko khara Kia Tha , class room se zada bhr hmne seekh Lia tha. Aakhri baar jab aakhri din ham mile the kai wade hamne kr lie the. Par tab shuru Hui zindagi ki asli class, alg school me admission no same class.....are Koi naa alg school Hai to Kya hua har week Milte rhenge par Sach btae dost aur kitna khud ko dhakte rhenge . Pehle milke plan banate the ab Milne ka plan banta hai........in sab me kahi kho si gayi Hai hmari zindagi. Kaha Hai yr Mera vo school Wala dost kaha Hai.......
0
Mar 30, 2018
Mar 30, 2018 at 5:40 AM UTC
10th memories
Dil todkar mera aaj wo apna dard dikhane chale hai, Pyar ka naam badnaam kar aaj wo pyar sikhane chale hai, Kal tak jinhe parwaah na thi meri, Aaj wo phir se jhuthe humdard dikhane chale hai... Kitne azeeb hai log jo palbhar me badal jate hai, Sukh me sab sath rahte dukh me ojhal ** jate hai, Jinpar hum khud se jyada bharosha karte, Aksar wahi ek din dil tod jate hai, Khud dard dekar aaj meri galatiyan ginane chale hai, Kal tak mera mazak udate aaj apne aap ko masoom btane chale hai, Bankar bahurupiya mere samne, Aaj wo phir ek naya roop dikhane chale hai... Ek naya roop dikhane chale hai....
0
Oct 20, 2017
Oct 20, 2017 at 12:53 AM UTC
KHUD DARD DEKAR AAJ MERI GALATIYAN GINANE CHALE HAI....
Ky ** tum,. Princess ** tum meri. Jaan ** tum meri. Har khushi ki bajah ** tum. Meri har har baat tumse shuru hoti hai or tum pe khatam. Mera har morng tumse start hoti hai. Or har raat tum pr khatm. Tumhare bin to main apni lyf imagine bhi ni kr pata. Main to humesha k lye Sone ko bhi ready hu. Kyoki jo(Aap) sapne me mera apna hai. Wahi aankh khulte hi srf ek supna hai. . . . #SmArTy...
0
Jan 11, 2018
Jan 11, 2018 at 12:20 PM UTC
Dream girl
Haa ki galti maine nahi samjha pyaar tera, ek baar bol deta to kya mai samajh nahi paati.., ** *** tujhse door is dhang me, rang *** puri tarah, kisi or k rang me.., haa ki galti maine nahi samjha pyaar tera.. par tu bhi chala gaya chala gaya chup chaap ek baar pukaar k to dekhta kya mai nahi aati tere sang me ha ki galti maine nahi samjha pyaar tera.., par tu bhi nikal pada nikal pada nayi duniya banane hua mujhse yu door ki laga kisi or ko manane tu khush tha apni zindgi me mai bhi gum thi apni zindgi me par ab pta chala daur to wo hi achha tha jab mere hatho me tera haath tha tere labon pe mera naam tha CHARU KASHYAP..., kabhi kisi ne kaha hai ki tumhari aankhe bohot khoobsurat hai..., haa wahi.., wahi baat or wahi naam aisa laga hi nahi kabhi ki hai hum alag bss waqt guzarta gaya or duriyan badhti *** kyu ki galti maine jo nahi samjha pyaar tera...
0
Apr 27, 2021
Apr 27, 2021 at 3:29 PM UTC
Galti
Chalo aaj kuch naya sikh lete hai! Jis vakt ko roz dhoondha karte the vo mil hi gaya hai, To Chalo aaj kuch naya sikh lete hai! Har roz jis shauukh ko bolte the yaar vakt hi nahi tere liye, Chalo aaj use bhi kuch vakt de dete hai! Har baar kisi ko unsuna kar dete the yah keh k ki yaar vakt nahi hai, Use bhi thoda sa aaj kuch sun lete hai! Kisi ke kaam mein hath bata lete hai thoda sa, Ya kisi ke saath yuhi kuch der baith jate hai, kabhi jo tumhare waqqt ka intezar karte the, Chalo aaj unhe bhi pura waqt de dete hai! Fir shuru ** jayegi zindagi, to fir wahi kahenge ki vakt nahi mere paas, To aaj jo waqt mila hai use thoda sa jee lete hai, Chalo aaj kuch naya sikh lete hai!
0
Jun 1, 2020
Jun 1, 2020 at 2:39 AM UTC
Aaj kuch naya sikh lete hai
Apna wahi h jo humari khamoshi padh sake, Verna andaje tho begane bhe lga lete hai...
0
Dec 19, 2019
Dec 19, 2019 at 12:35 PM UTC
Khamoshiya❤
Aagaya hai firse samay wahi Ab hum sar chupayenge aur kahi Bichadne ka gham toh hai sahi Lekin us baat ki himmat nahi Is gham ko tumse baatenge ab nahi Tumse Milne ki jasbaat ki hai darr wahi Bin bataye Hume hai jaana abhi Humko dhoondte tum aana nahi Humko dhoondte tum aana nahi Ab Aagaya hai firse samay wahi...
0
Feb 21, 2020
Feb 21, 2020 at 10:32 AM UTC
Bin Bataaye...