"wahan" poems
Mujhe wo aksar kehta tha
Muhabat kuch nhi hoti
Hijar ka khauf be matlab
Wasl k khwab bemani
... Nighaoon main koi soorat
Kahan din rat rehti hai
Usy q khamoshi kahain
K jis main bat rehti hai
Wo ankhain kaisi hoti hain?
Jahan barsat rehti hai
Yeh ansu bezaban ansu
Bhala kya bol saktay hain
Or uski narm palko pe nami
Din rat rehti hai
Mujhe wo aksar kehta tha
Mohabbat kuch nahi hoti
Magar jab aj barson bad
Main ne usko dekha hai
K uski jheel ankho main
Hijar ka khof rehta hai
Wasl k khwab rehtay hain
Wahan barsat rehti hai
Yun lagta hai k barson se
Wo soya v nahi shayad
Yun lagta hai kisi ki yada barson se
Usy din rat rehti hai
Or uski narm palkon pe
Haseen saay be geelay hain
Or uski khamoshi aisi k
Jis main bat rehti hai
Mujhe ab wo nahee kehta
Muhabat kch nahee hoti.
Jan 20, 2016
Jan 20, 2016 at 3:38 PM UTC
Kagaz ki kashtiyon mein kai bar safar kar liya,
ab ek lambi udan bhar lene do.
Aj in bandhe hue pankhon ko khuli hava mein sans le lene do,
kyunki ab girne ka khauff nahin raha.
Daudne mein ab koi maza nahin hai,
kyunki yahan to hava jaise tham si gayi **
Ab rukne ka bilkul man nahin raha,
aj to toofanon mein sair karne lene do.
Dayron mein rehte hue adhi zindagi guzar gayi,
aj to un hadon ko par kar lene do.
Dar dar ke kab tak khamosh rahoge dost,
zameen par jeet jane mein kuch nahin rakha ,
aj to uchaiyon par jashn mana lene do.
Unke chale hue raston ko kai bar nap liya,
aj mujhe bhi apni pehchan bana lene do.
Kismat ka rona to sabhi rote hain,
aj mujhe bhi apne naseeb ka kora kagaz rang lene do.
Kabhi kabhi to man karta hai ki
un azad parindon ki tarah hava mein bas tairta hi reh jaoon.
Asan to kuch nahin par sochta *** ki
aj namumkin ko hi apna dost bana loon.
Kitabon ke panne kafi palat liye,
aj mujhe bhi do shabd likh lene do.
Hans lene do jinhe hansna hai mere in mazboot iradon par.
Kya samjhenege who is khuli udan ki masti ko,
jinhe kabhi bharosa nahin hua khud par,
aur hamesha rakha tha apne armanon ko pinjre mein kaid kar.
Khule asman mein aj ek bar ud lene do,
kya pata kal wahan bhi zaroorat se jyada bheed **
Kai dinon ke bad aj ek bar fir azad hone ka man kiya hai
Tod do in bediyon ko, kyunki aj ek lambi udaan bharne ka iraada hai
Mar 23, 2011
Mar 23, 2011 at 9:20 AM UTC
Jo wahan hai wo yahan hai
Jo yahan hai wo wahan hai
Par-e-dil gumshuda
Na Jane kahan hai
Ek chota sa to ye jahan hai
Hum to isse bhi bant chale
Dil to ek chota sa makam hai
A us ***** ko bhi sath le chalein
Jispe uska kudha mehrban hai
Ye to ek aeine ki zaban hai
Jane teri ankhein kahan hai
apne ko hi kyu karta hai khafa
Tujse zada insan to asman hai
Koi lakeer zisko na bant sake
Usse bant diya tune jahan hai
ab to diwaron me hi tu fanaa hai
agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?
rok na sake koi usse
jisko khaboien ki panaa hai
Jo pyar me bana hai
lakeeron ke uss par bhi to ek sapna hai
udhar bhi to koi shayad apna hai
agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?
ye jo rasta tumne chuna hai
akele pad jaoge tum beete kal
ye jo hai tumhari addat
ki ab to ibadat bhi gunha hai
kya tumne kabhi dheere se suna hai
wo ek muskaan ki shararat
jiska arth bhi tumko mana hai
dekh le us fakeer ki nazakat
jo tere mere khoon ki milawat
us lakeer ki ahat pe kurban hai
agar ek dusre ke liye hi marna hai
to pyar me marne me kya gunha hai ?
Oct 5, 2016
Oct 5, 2016 at 6:32 AM UTC
Ek din ki hai, ye, dastaan
Bichad gaye, do dil, yahan- wahan
Karvate, badal rahi thi, dharti
Angdaiyan, le raha tha, aasman
Idhar ho gayee thi shaam
Udhar ** gaya tha savera
Idhar jal raha tha diya
Udhar buj gayi thi baati
Idhar ro raha tha dil mera
Udhar nagin se mil raha tha sapera!
Jun 20, 2014
Jun 20, 2014 at 6:29 AM UTC
Ehsaas kay dareechay main
Baynaam sa aik shahar basta hai
Har roz wahan log uth-tay hain
Qaroobar kay hangaamon main
Koe mun dho kar nikalta hai
Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai
har roz wahan aik kahani hai
Jo tmhain mjhay sunani hai
Har saa-at wahan aik tamasha hai
Jo rukta aur shaur machata hai
Raat ki taareeki main
Jab sab thak kar laut aatay hain
Apnay **** ki thakawat ko
Wo khawaboon kay ka-andhay utartay hain
Aur yunhi so jatay hain.....
Ehsaas kay dareechay main
Jo aik bay- naam sa shahar basta hai
Uss basti ki sab hastion main
Chupa bacha din bhar hansta hai
Aur shab dhalay, sarhanay mun day kar rota rahta hai.....
Nov 14, 2018
Nov 14, 2018 at 1:55 PM UTC
Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!
Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!
Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!
Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...
Sep 3, 2019
Sep 3, 2019 at 3:21 PM UTC
yae dil be-qrar hae
jeena dushwar hai
mjko us say pyar hae
uska intzar hae
rsta khardar hae
kya us k liye b!!
mere bin... jeena dushwar hae!
mera intzar hae!
us ko mj say pyar hae!
dil b be-qrar hae!
mjko to btlao na!
kya wahan b..
ye he soorat haal hae!!
Feb 4, 2015
Feb 4, 2015 at 6:28 AM UTC
Ek arsa ** gaya mann se soye hue..
Woh bachpan wali gehri neend ab kahan ..!
Din bhar yahan wahan ki bhag daud me..
Rat me 'kal kya karna hai' ki jod tod me..
Kb fresher se experienced ** gaye,
Pata hi ni chala...
Woh beparwahi .. woh masti ab kahan..
Woh bachpan wali gehri neend ab kahan..!!
Mar 2, 2018
Mar 2, 2018 at 10:02 PM UTC
Nhn aayna- e -saaz main go-mago yay kaifiat
Jaisay burg- o -bahar main ** koe chingari
Jiss kay sholon main bujhay yay dil rakh ki soorat
Jisss kay chahray main jalay angari.....
Main wo zaat hon jiss ka koe shahar nhn
Jo jahan chalay wahan aag lagay
Jiss kay bayan main naan zahar naan amar
Jiss kay wajood main dah-kain sab raaz chupay.....
Nhn asbaab koe, nhn imkaan koe
Mere zaat kay hisaab main nhn jaan koe
Phir bhe toofan-e- azam liay chalti hon
Kay meray dard ki intiha ki nhn intiha koe.......
Feb 19, 2019
Feb 19, 2019 at 11:34 AM UTC
muhabbat ka faham jana tou dil ro para
yay kaisa ilm hai kay jiss raah gya wahan shor para
yay dekho kon hai saaqi jo chala aa raha hai khaali hath
naan mayy hai naan masti, naan may kadday ka shoor para
zamana saaz tha, par sakoot main raha umar bhar
magar roze hashar yay kuen aur kaisa shaur para
aur phir jab dill tota, aur ishq ki baazi haar gya
wo shaksh murjha gya aur hanstay hanstay phir ro para
Jun 20, 2020
Jun 20, 2020 at 2:10 PM UTC
Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.
Har saans mein jo bas gaya hai khushbu banke,
Us mehka hua jahan mein bas tu hi tu hai.
Mere labon pe tera zikr sada hai,
Mere har qissa-e-gham mein bas tu hi tu hai.
Chaand ke saath jo guftagu karun raaton mein,
Wahan bhi mere lafzon mein bas tu hi tu hai.
Jahan nazar uthaoon, tera chehra dikhta hai,
Har manzar ke rangon mein bas tu hi tu hai.
Zindagi mein meri bas tu hi tu hai,
Har khwab mein meri bas tu hi tu hai.
Nov 20, 2024
Nov 20, 2024 at 10:57 AM UTC
Muhammad Khalid Khan
December 14, 2018 ·
Ghazal
Tum kaho to main bus wahan rakhon
Itnay dil main kahan kahan rakhon
Hay sanam khaana ye jahan sara
Tum kaho main zuban kahaan rakhon
Husan nay hosla barhaya hay
Ishq ko kiyun na darmian rakhon
Ang ang main charagh jaltay hain
Hain andheray kahaan kahaan rakhon
Hay Bhanwar main ye zindgi saari
Kia main kishti main badban rakhon
To mujay mil gia tha rastay main
Pass kiyun ab main do jahan rakhon
Zard sahra main hay safar sara
Sar pa phir kiyun main aasman rakhon
Umar sa kaisa lena dena hay
Dil ko aye jan na kiyun jawan rakhon
Sath hain teray shahr bhar ka log
Dil ko main kitna bad guman rakhon
Mehr dushman howa jahan sara
Bolo janaan ko main kahaan rakhon
Colonel Muhammad Khalid Khan
Copyright 2018 Hath Main Hath
Mar 28, 2020
Mar 28, 2020 at 2:02 PM UTC
*
*Dil tu kyun ro raha hai
Jo hona tha, woh ** chuka hai
Dil tu kyun ro raha hai
Jo khona tha, woh tu kho chuka hai
Ek kona hai bas ab tera
Wahin pe raat, wahin tere din
Wahin har saans ko aankhon se gin
Jo hona tha, woh ** chuka hai
Dil tu aakhir kyun ro raha hai
Tera tha khula asmaan
Teri hi thi naadi, teri vaadiyaan
Tera hi toh tha yeh jahaan
Tujhka tujhse hi tha imtihaan
Aur tu na jaane kya khoj raha tha
Tu kahin toh pahunch raha tha
Ek kona hai bas ab tera
Wahin ab teri har arz sunsaan
Wahin ab dafan har karz, har toofaan
Khud ko khud se hi bhool raha hai
Ab toh veerane mein bhi tu doob raha hai
Tab se ab tak khud se hi jhoojh raha hai
Kya ab bas ek kona hi hai tera?
Dekh, wahan ek phool khila hai
Tere aansuon se seencha
Woh tujhse pooch raha hai —
Tu kyun ro raha hai?
Jo hona tha, woh ** chuka hai
Jo khona tha, woh kho chuka hai
Ab bhi hai asmaan
Ab bhi woh naadi, woh vaadiyaan
Ab bhi hai yeh jahaan
Tera hi tujhse imtihaan
Tu kya soch raha hai
Sunn zara murshid kya bol raha hai
Kya bas ab ek kona hi hai tera?
Tujhko toh tera Khuda khoj raha hai
Ja, main hoon yahan —
Teri zameer, tera armaan
Teri kami, tera gunah
Tera nazeer, teri panah
Ja, main hoon yahan
Main hoon yahan.*
*
Jun 12, 2025
Jun 12, 2025 at 8:34 AM UTC