Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"ummeed" poems
Kash tum meri zindagi me aae hi na hote, To shayad aaj ye akelapan mujhe mehsus hi na hota..... Mai akeli thi aur akelapan meri aadat ban chuki thi, Zindagi se koi ummeed bhi ni thi mujhe... Par jab tumne mera saath dene ka wada kiya, Man hi man mujhe apni zindagi se lagaav sa ** gya... Jine lagi thi mai, Zindagi se ummeedein rakhne lagi thi mai... Jo barish ki bunde mujhe kaaton ki tarah chubhti thi, Jiski awaaj mujhme ek bechaini si paida karti thi... Wo barish ki bunde mujhpe ab phulon ki tarah barasne lgi thi, Uski awaaj me mai saat suro ko mehsus krne lgi thi..... Kash tum meri zindagi me aae hi na hote, To is akelepan se koi shikayat hi na hoti.... Kash tm meri zindagi me aae hi na hote to is akelepan se koi ummeed hi na hoti.. Kash tum meri zindagi me aae hi na hote... Kash tum meri zindagi me aae hi na hote.....!!!!!!!
0
Mar 18, 2015
Mar 18, 2015 at 7:15 AM UTC
Akelapan
Dard bhi kya sikandar hai. Is ko na kisi ki fikar, na dar hai. Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai. Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai. Bas dard hi dard hai. Dard se bachna hai. Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath. Chhin jaane ka dar, Nazar lag jaane ka dar, Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar. Lekin dard ko kis cheez ka dar? Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye, toh phir kis baat ka dar? Kitni ajeeb baat hai, aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka. Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai, toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka. Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai. Magar dard hi toh azaadi hai. Yeh khaathma nahin. Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai ----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
0
Sep 11, 2021
Sep 11, 2021 at 7:01 AM UTC
Dard
Hum mile ek dusre se Sabkuch acha tha..... . Ek pal na socha maine Ki bo to bs ek kaanch ka supna tha. . Baate hui, dosti hui , najdiikiya badi. Mar mitne ko jee chahata hai us pr mujhe. . Ky karu pyaaar hai had se jyada mujhe usse. Jeena nhi chahata hu uske bagair mai. . But saccchhhai ye hai ki hum ek ni ** skte . Never ever. . Islye kud ki hi najro mai thoda thoda krke mar raha hu mai. Jee nhi raha bs saaanse gin raha hu mai. . Srf or srf es ummeed me . . Hume bhi hai ek supno ki dunia bnani. Nahi rakhni mujhe #Humari_adhuri_kahaani. . . . #SmArTy...
0
Jan 9, 2018
Jan 9, 2018 at 12:18 PM UTC
Humari adhuri kahani
bewafa agar wo hote to unse shikayat mai kar leta, pyar to aaj bhi unse hi karta hu, tab shayad shikwa bhi kar leta, na wo bewafa hai na mai shikayat kar sakta hu, vo to bas door hai mujhse, tab shayad khud ko unse door kar leta, bewafa agar vo hote to unse shikayat mai kar leta.... yun to kai baar vo muhse rooth jaya karte hai, tab shayad mai khud hi unse rooth jata, ab vo yaad bahut aate hai, tab shayad unhe bhool jane ki koshish mai kar leta, yaad me unki ab bhi aansoo bahata hu mai, tab shayad unhe yad na aane k gam me ro leta, bewafa agar vo hote to unse shikayat mai kar leta.... baarish jab hoti aur vo sath nahi hote, to akela hi us barish me bheeg leta, tanha hu mai aaj bhi unk bina, tab shayad unhe kareeb lane ki koshish na kar pata, ab to bas jindagi beet rahi hai unk aane ki ummeed k sahare, shayad tab khud ko mita diya hota, bewafa agar vo hote to unse shikayat mai kar leta.
0
May 18, 2019
May 18, 2019 at 4:55 AM UTC
Bewafa agar vo hote
Adhuri si hai shaamein Adhuri si hai barish Adhuri si hai aarzoo, adhuri hai har khwaish Karne ko toh hai baatein hazaron Phir bhi kyun hai har baat adhuri Chahte hai shayad, mere apne Phir bhi lagti hai har chahat adhuri Bhini si hai barish mein yeh mitti ki khushboo Kahin reh gayi hai uski mehek adhuri Raat gunguna rahi hai khubsoorti ki dastaan Karvat mein hai ek ummeed Reh gayi woh ummeed adhuri
0
Feb 18, 2020
Feb 18, 2020 at 2:09 AM UTC
Adhuri
E mann tu kyu rota hai, Kuch 2 pal ki hi to hai zindagi, Phir tu itna kyun sochta hai, Har pal ek naya daur hai, Ek naya savera, aur ek nai ummeed hai, Bas itni si baat hai Zindagi, Kuch pal haseen, to kuch bas yuhin hai zindagi, Bas 2 pal ki hi to hai Zindagi!! Bas 2 pal ki hi to hai Zindagi!!
0
Jun 12, 2020
Jun 12, 2020 at 1:42 AM UTC
Bas 2 pal ki hit to hai Zindagi!
UMMEED Sach kahu to tabaah hu mai, Tere jane ke baad khush kaha hu mai. Arso ** gye tujhe chod ke gaye, Fir bhi usi jagah ruka hu mai. Tere laut aane ki ummeed mere aage badh jane se aachi hai, Par tu nhi smjhegi ye baat tu to abhi bachi   hai . Tu nahi aayegi ye khayal hi bahut darata hai, Par tu jarur aayegi ye khayal dil me dugni ummeed jagata hai. Kaash ke koi karishma ** jaye, Tera mera milan iss martaba ** jaye. Tu aaye mere jiwan me khushiyon ki saugaato ki tarah, Or jo gira tha meri ummeedo ka mahal firse wo ek martaba khada ** jaye Kaash ke koi karishma ** jaye.                                               ~Tannu.
0
Aug 10, 2020
Aug 10, 2020 at 1:47 PM UTC
Ummeed 🙂
Hum jise  sach man rahe the Wo to  tha  ek vaham apno ne hi maar Diya Varna Gairo mein Kya  tha dum Bhool Hui sabhi ko samaj ke apna Wo to gulam samajke todte Gaye sapna Janam le liya Sirf itna tha gunah Iski saari umra milti rahi saja Socha tha hai humara hak, hai humara bhi mahatva Badi der lagi samajne mein nahi humara koi astitva Yeh aisi duniya jisme prem se bada aham Saari umra jise sachchai samja wo to nikala bhram E dile nadaan na karna koi ummeed Jald hi seekh le  yeh hi hai jag ki reet Jane kis Kalam se likhi khuda ne hamari kismat Saari Zindagi pyaar na Mila mili hai sirf nafrat Than li hai ab khud se muh na modenge Jo bahar se na Mila use ander hi khojenge
0
Sep 8, 2018
Sep 8, 2018 at 12:58 PM UTC
Untitled