"rulati" poems
Najane kyon tadapati hain
ye yaadein,
Kabhi rulati Kabhi Khush kar jati
ye yaadein,
Mere jine ka jariya hain bus yahi,
Kabhi dard bankar jakhm deti hain,
To kabhi dard ka maraham ban jati
Ye yaadein,
ye yaadein......
Silsile ye mohabbat ka
Jari rahengi zindagi bhar,
Karke pyaar tumse sanam
bhatak raha hoon dar dar,
Kahan gye wo din,
Kahan gye wo waadein,
Ab mere paas rah gayi hain
bus teri ye yaadein,
ye yaadein......
Bahla raha hoon apne dil ko
Un yaado ke sahare,
Chale gye ** tum lekar
Wo Khubsurat bahare,
Pahli nazar me deewana banakar
Bechain kar jati ye yaadein,
mere dil-o-dimag par bus
Teri ye yaadein,
ye yaadein....
Jun 4, 2015
Jun 4, 2015 at 10:05 AM UTC
kaisi - kaisi din dikhati hai ye jindagi
kabhi hansati hai kabhi rulati hai ye jindagi
jise chaha apni anko ke palko pe sajake
oh kisi orke sath hai, kya khel hai ye jindagi.???
.
sandeep kr singh
Mar 4, 2016
Mar 4, 2016 at 12:00 PM UTC
Ae zindagi kya hassin naam tera
Hazaaron Mein Hai chehra tera
Aj beparda hai husno jamal tera
Sabhi ko hoti hai chinta teri
Kya ** agar na ** chinta teri
Chalo jite hai tuje aaj mein
Chohd chinta kal ki teri
Sochta *** kya hai zindagi
Fir dehk kar paani Ganga ka
Sabhi jawab milgae
Jese Ganga aati hai or
Samundar mai miljaati hai
Fir se baarish ke roop Mein wo
Himalaya me chali jaati hai
Ae zindagi tubhi waise lagti mujhe
Haasti hai rulati hai or kabhi udas
Kar jati hai tu
Fir es aatma ko us ek se ja milati hai
Ae zindagi maaza tera maut Mein Bhi aata hai
Ae zindagi kya hassin naam tera
Hazaaron Mein Hai chehra tera
Hazaaron Mein Hai chehra tera
By Abutorab dyer
Aug 2, 2020
Aug 2, 2020 at 1:47 AM UTC
Kuch baatein yuhi kahi to nahi jaati,
kai baatein aankhe bhi bayaa nahi kar paati
Kisi rail ki thar-tharahat mein shayad hai woh baat
Ya hai kisi pool ke sannatein mein...
Yeh jo kaath le taalein hain, apne lafzon par kyun daale hain
Ek ajeeb si narazgi sabhi ne paale hain!
Kabhi khil-khilati thi mere honthon ki hasi,
Aaj aalam hai ki murjhaye phool bhi humse sayaane hain...
Dil ki baatein dil ko hi satati hai,
Aa jayen agar lafzon tak toh apno ko rulati hain...
Zindagi badi ruhaani hai, harr mod ek nayi kahani hai,
Kuch baatein yunhi sunani hain
Kai baatein aankhon se samjhani hai...
Mar 12, 2018
Mar 12, 2018 at 10:18 AM UTC