Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Zindagi may itnay gham saha hoon
Kay abtoh ashqon say dosti ** chuki hai
Ab inhay kuch kehna bhi nahi parta
Jabhi koi mauka hota hai
Yeh khud ba khud meray say mulaqaat karnay chalay aatay hai
(Urdu & Hindi)

English Translation

I've experienced and borne so much sadness in my life
That now tears have become my friends
Now i don't even need to tell them anything
Whenever there arises an opportunity
They just come out on their own and meet me
pnam Jan 2020
Language: Roman-Hindi

dard hota hai ab yun dooor na jaaya kijiye
is theer ko ab is dil me hee rahne dijiye
sah na payega ab ye dil ye tho zara dekiye
kafa hain humse agar tho ek mauka aur dijiye


Translation in English

It hurts now don't stay away
Let this cupids arrow in my heart stay
This heart will not bear can't you see
If you are displeased, another chance I plea
Dated 1992
Ankit Dubey May 2019
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
hai ab to bas  intjaar us pal ka,
kab fir se chahakna unka sun paunga,
meri choti choti baton par,
kab unka khilkhilana sun paunga,
kyun meri shikayat hai lagti buri,
k fir shikayat karne ka mauka hi cheen liya......
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
yun tanha chod k mujhko gaya,
kyun hak mujhpe jatana chod diya,
ab kaise karu mai unko khabar,
k unk bina na ji paunga,
agar aaye na vo vapas jaldi,
mai duniya chod chala jaunga,
hai ab bhi waqt vaapas aa jao,
kahin khabar na mile kisi aur se,
k  yaaad me unki maine saanse bharna chod diya....
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
teri khushboo me jo madhoshi hai,
kyun mujhko juda hai usse kiya,
bas aur nahi takat mujhme,
maine khud ko samajhna chod diya,
na jaao mujhe yun ghayal kark,
aankhen bhi sath nahi deti,
aa jao mere pas sanam,
aab ashkon ne b bahna chod diya,
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya.......
Harshit Nangia Apr 2020
Pehli baar jab tujhe dekha
To hairaan hi reh gaya
Ki khuda ne kuchh itna khubsurat bhi banaya tha ,
Ha, main toh bas dekhta hi reh gaya .

Tab tak zindagi bas kat rahi thi
Kabhi zindagi ke baare mein socha na tha,
Par uss din ek ek pal ,ek ek lamha
Kai saalo sa lag raha tha.

Vo teri do pal ki muskurahat
Mere liye saari zindagi ban gayi thi
Tune jo apna munh fera toh meri saanse Ruk gayi thi .

Kehte hain , ki pyaar usse kiya jaata hai jiski tum izzat kar sako ,
Jisne apne aap ko saabit kiya ** ,
Jo tumhari barabri ka ** .

Main uss waqt pehle number pe hua karta tha ,
Meri izzat aur rutba hua karta tha .
Uss waqt mauka tha fir bhi keh na paaya ,
Aaj keh raha hoon kyunki fir pata nahi mauka mile ya na mile.
This is my first poem in hindi ever written. This is about my first love . Please be kind .
Mayank Garg Jun 2020
-Galti teri nahi thi ki
Tune mujhe dhoka diya

-Galti teri nahi thi ki
Tune mujhe dhoka diya
-Galti toh meri thi jo
Maine tujhe mauka diya
Akta Agarwal Jun 2021
Hey rabba sukriya jo tune yh zindagi diya
Jine ka mauka brpur esme diya
H rkha mushpe varosha hmesha
Saath na kbhi mera chutne diya
Kabhi kitaabo m saathi bna
kabhi khayalo m raahi bna
Jb v ghum hue khusiya
tune fir unse ru-ba-ru kra diya
Sukriya jo tune mera saath diya
Jine ka ek aash diya
Saath to tera mila
ab to dr v nhi lagta Kuch khone s
tune jo thame haath h
khul K jina ki khusiyaan
ab hmare pass h
Sukriya bhala karu Kin kin baaton ka
etne tere aheshaan h
ki sukriya kehene ko km pr jaaye yh saash h
Tune jannat ki sher krae
Khudh m hi hsne ki aash jagaae
Kbhi thi m v dri sehemi si
pr tere saath ne umeedein bharpur jagaae
Or un umeedoon ne khusiyon ki h barsaat karaae
Hey rabba sukriya kehene ko km jnm yh pr jaaye
For v enn khat K jariye
Kosish meri kaam aaye
Ek baar fir sukriya
jo tune hr pal h mere swath nibhae
Akta Agarwal Mar 2021
Har pal yh baat satati hai
Aaene hme fir dikhati hai
Bewafae ni hmari yh hai
Magar kehe na sake ki tujhe ab v cahteh hai
Tune waadeh kiye the waqt dene ka hme
Magar fir na ske apna hme
Mauka v diya or dastur v hmne
Par sayad kismat m na tha saath hmara
Cahat tu hi jo rhe mera
Pr mere mohabhat pe na hoga koe hq tera
Cahat hr baar mukammal nhi hoti it h

— The End —