Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"karle" poems
Tu meri aakhiri abhilasha, Pyar karle tu mujhse jara sa, etna bhi mat ban anjan tu, waqt dede apna thora sa, Tu meri aakhiri abhilasha, Tu meri aakhiri abhilasha. ... wothon par meri muskan teri hain, **** me mere jaan teri hain, Dil to samjhta hain sirf pyar ki bhasha, Tu meri aakhiri abhilasha. .., Tere bin sari duniya suna sa, Rahne laga hoon main mra mra sa, Mud ke dekh lo sanam jara sa, tu meri aakhiri abhilasha, tu meri aakhiri abhilasha.. .. .. Jab se tera main ** gya hoon, tere khawabo me kho gya hoon, Kyon khafa ** mujhse bata do zara sa, tu meri aakhiri abhilasha.. ., tere dard ko maine apna bna liya, apni sari khushi tujhpe luta diya, Kyoki do dilo ka milan hi hota hain pyar ki paribhasha, Tu meri aakhiri abhilasha, tu meri aakhiri abhilasha.. ..
0
May 21, 2015
May 21, 2015 at 9:15 AM UTC
ABHILASHA
Dard bhi kya sikandar hai. Is ko na kisi ki fikar, na dar hai. Jab yeh aata hai toh sab bhula deta hai. Jo fateh karle toh kya ummeed kya khwahish hai. Bas dard hi dard hai. Dard se bachna hai. Khushiyaan aati hai toh kisi na kisi dar ke saath. Chhin jaane ka dar, Nazar lag jaane ka dar, Zyaada khush ** liye toh phir baad mein rone ka dar. Lekin dard ko kis cheez ka dar? Jis ka dar tha jab wohi aakar hum se lipat jaaye, toh phir kis baat ka dar? Kitni ajeeb baat hai, aur yeh kaisa mazedaar rishta hai dard aur khushiyon ka. Khushiyaan dard ka veham lekar aati hai, toh dard ki inteha ek dhundla sa daawa khushiyon ka. Lagta toh har kisi ko yahi hai, ke ab is dard se azaadi na mumkin hai. Magar dard hi toh azaadi hai. Yeh khaathma nahin. Yeh toh khaatme ki shakal mein shuruwaat hai ----- ek nayi khushi ki, ek nayi tumhari.
0
Sep 11, 2021
Sep 11, 2021 at 7:01 AM UTC
Dard
Aabid RUMI and Tanzeelah Illahi                                                 DUET GHAZAL: DIL NAY MAANA Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat Dil nay maana ki karley eatibaar tumpay aay mohobat         2 Thoda kam he sahe karle pyaar tumsay aay mohobat Hai nhi yakeen mujko  lakeeroon pay Mainay  toh ,mohobat nigahoon say ki hai Chahai kismat mai jo bhi likha ** Mainay toh mohobat  sirf tumsay ki hai Ab mainay bhi maana, hai ektiyaar  tumpay aay mohobat Jhoota  he sahe  par karle izhaar  tumsay aay mohobat Janay hum kahaan thay ,lo aaj kahaan chal rahai hai Har mode pay naye  humko humraah mil rahai hai Hai nishaan kuch kay ,aur kuch kay he nhi Jaanay yeh  hawaa kis sang guzar rahai hai Mudatoon say jo hai dharr pay aaj deedar ** aay mohobat Dheer say he sahe meray rozay ka ** iftiyaar aay mohobat
0
Apr 16, 2017
Apr 16, 2017 at 6:19 AM UTC
Dil NAY MAANA
Har chehra pur Noor lagta hai.. Har dill me suroor lagta hai. Aayi jo neki ki bahar hai.. Gunaah ab dur lagta hai. Har aan ek nayi justujoo hai.. har banda ab ibadatguzaar lagta hai. Rozedar ki aankhon me Khuda ki Raza ki aarzoo hai.. Aur Khuda apne bandon ke sabar par guroor karta hai. Qubool karle Sub ki neki Ya Rabb! Bandi ki is ilteja ko maan le, Tu bada Ghafoor lagta hai!
0
Apr 12, 2021
Apr 12, 2021 at 4:10 PM UTC
Ramzan