Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"kaam" poems
woh zindagi bhi kya zindagi hogi jisme zindagi hi naa ** koi gam nhi aur koi shikva bhi naa ** Teri yaad bhi naa ** naa tera koi zikra ** woh zindagi bhi kya zindagi hogi jaha koi alfaaz hi naa ** naa tujhe paane ki koi chaah aur naa hi tujhe khone ka koi dard ** woh zindagi bhi kya zindagi hogi jaha mai naa rahu aur tu bhi naa ** naa koi dikhavti hasi aur koi aasu bhi naa ** woh zindagi bhi kya zindagi hogi jaha seeney ki dhadkan sirf dhadke aur dimaag sirf apna kaam kare koi khwaahish hi naa ** koi aarzoo bhi naa ** yeh saasein toh chale bas koi zindagi hi naa ** woh zindagi bhi kya zindagi hogi... woh zindagi bhi kya zindagi hogi... jaha main naa rahu aur tum bhi naa ** yeh **** toh rahe par koi aatma naa ** yeh saasein toh chale bas koi zindagi hi naa ** woh zindagi bhi kya zindagi hogi... jaha main naa rahu aur tum bhi naa **
0
Nov 30, 2015
Nov 30, 2015 at 1:33 AM UTC
WOH ZINDAGI... (HINDI POEM)
Kanyadaan hua jab pura, Aaya samay vidayi ka Hashi khushi sab kaam hua tha, Saari rashmm adaai ka Beti ke uss kaatar swar ne , Baabul ko jhakjhor dia Puch rahi thi papa tumne, Kya sach-much me chodd dia Apne aangan ki phulwari, Mujhko sada kaha tumne Mere rone ko pal bhar bhi, Bilkul nahi saha tumne Kya iss aangan ke kone me, Mera kuch asthan nahi Ab mere rone ka papa, Tumko bilkul dhyan nahi Dekho antim baar dehri, Log mujhhe pujwaate hai Aakar ke papa inko kyu, Aap nahi dhamkate hai Nahi rokte chacha taau, Bhaiya se v aas nahi Aisi bhi kya nishthurta hai, Koi aata paas nahi Beti ki baato ko sun ke, Pita nahi rah saka khada Umadd pade ankho se aanshu, Badahawas sa daud pada Kaatar bichia si wah beti, Lipat pita se rotii thi Jaise yaado ke akshar wah, Ashru bindu se dhoti thi Maa ko laga god se koi, Maano sab kuch cheen chala Phool sabhi ghar ki phoolwari se koi jyo been chala Chota bhai bhi kone me, Baitha biatha subak raha Usko kaun karega chup ab, Wah kone me dubak raha Beti ke jaane par ghar ne, Jaane kya kya khoya hai Kabhi naa rone wala baap bhi, Phoot-Phoot kar roya hai ............
0
Sep 24, 2015
Sep 24, 2015 at 8:07 AM UTC
KANYADAAN HUA JAB PURA
Seetaro mai akela chaand si thi wo Foolon ka mehekta guldan si thi wo Thi nadi jaisi aviral,chanchal mere dil ka haal si thi wo Ghani dhoop mai chav si thi wo Kisi geet ki addaon si thi wo Thi hava si mehekti, komal Mere dil ka bhav si thi wo Beech majhdhaar mai nav si thi wo Khusian ka pura gaon si thi wo Thi koyal si meethi,nishchal Mere man ka abhiman si thi wo Paido par wo patto waali hari bhari koi daal si thi wo Holi ke rango mai sabse saadi ek akeli gulaal si thi wo Thi wadi kasmiri koi Mere geeton ka sur aur taal si thi wo Mandir mai wo shankhnaad si,pooja ka prasad si thi wo Baarish mai mitti ki khushboo,badal ka dharti se sanvaad si thi wo Thi meri wo beti pyari,usse hi ghar 'harshit' tha Mere ghar mai sooraj si,Mere ghar ki shaan si thi wo Thi ab wo jo nahi rahi,aakhir khata kya thi ki usne mana hi to kia tha na beta shaadi se, Par dosti ka haath bhi to badhaya tha Teri Bezatti toh nahi thi ki usne Fir kyun tune usko har ghar badnaam kia Dushman na kare,dost hokar tune aisa kaam kia Chali gayi ab chhod ke mujhko,wo akele jeevan ki saanjh mai Meri khushiyan,meri duniya,meri pyari jaan si thi wo Meri pyari jaan si thi wo
0
Apr 13, 2017
Apr 13, 2017 at 7:46 AM UTC
Meri Beti
Friday 12:22 pm 6 Nov 2015 Agar suraj ki keerne.. Tapti dhup mujh pe de, Toh jhor se degiye ga… Kisi ko ye naah toh pata chalegi .. ki hum naraz ya gusse hai bahut! Agar baarish ** toh.. ** jaane digiye ga, Kisi ko ye na pata chal paaye … ki hum roh rahen hai! Agar pathte zhareee, Toh zhar jaane digiye ga.. Kisi toh naa pata kar paaye.. Ki hum aandarse bekhaare huye patho jaise bikhaa rahen h! Agar thadi ki mausam me thaand de, Toh bahut khub se digiye ga.. Kisi ko ye naah pata chale.. Ki hum saihum ya daar rahen h.. Andaar aandar se! Ye mausam hai.. kuch mere zindagi ki tarah… or humare zindagi ki tarah.. jo hum bayaan toh karte h.. par bahut kaam… kyuki hume samaj ne wala koi nahi hota! Ye jab hoti hai.. ya aati hai, jhoor se caati… Or agar naah aate toh, na hi sahi,.. Par jab aati h… toh puri zinadgi badal kar rakh deti hai.. ! trying to enjoying the life better :) :)
0
Mar 28, 2016
Mar 28, 2016 at 3:26 AM UTC
zindagi jaise badalti seasons ki tarah
Ishq naam hai Tabahi ka Phir bhi chuna hai kaam Ruswai ka phir bhi chuna ishq main dard Hijar o firaq hai ye kam nai Harjai ka phir bhi chuna Aawazain kasti hai dunya Tahne deti hai nai harf Bhalai ka phir chuna bhala aisi bhi kia Majboori thi ANAYAT Jante hain hai safar Tanhai ka phi bhi Chuna
0
Jul 3, 2015
Jul 3, 2015 at 10:11 PM UTC
Zarb e Ishq
1 nayi raah ko chunna chahta hoon, sabse kuch hatkr kuch naya, kuch alag karna chahta hoon, Ha tum sahi samjh rhe ** mein udna chahta hoon!!! Bhut kuch paane ki tadap hai abhi mujhme, Us tadap ko hmesha zinda rkhna chahta hu, Haan mein udna chahta hoon.. Apne dil me chupe jazbato ko bayyan karna chahta hu, Apne hunar or kabiliyat se apni pehchan bnana chahta hu , Haan mein udna chahta hoon... Dusro ko sabit krne ke liye nahi apne liye jeena chahta hu, Apne hatho ki lakeero me mehnat aur kamyabi ke rang bhar dena chahta *** Haan mein udna chahta hoon.. Ye alag rasta shyd abhi logo ko samjh nhi aaega, Kai baar shayd mera mzak bhi bnaya jaega, Pr fir bhi usi kaam ko puri mehnat, shiddat aur dil ke sath karna chahta hoon, Haan mein udna chahta hoon.. Aasman ki bulandiyo ko choona chahta hoon Lakho zindagiyo ke liye 1 misaal Banna chahta hoon... Haan mein udna chahta hoon Haan mein udna chahta hoon !!!! By : Shivam Porwal
0
Jan 7, 2018
Jan 7, 2018 at 2:14 PM UTC
Haan Mein Udna chahta hoon
Na amiro ki basti mein rhta hu Na hi gareebo ke aashiyane mein Middle class ka hua Middle mein rhta hu Na pahali pankti ki pehali seat pr baithta hu Na hi aakhar mein khada rhta hu Middle class ka hu Middle mein rhta hu Na croro ka kabaar  hai Na hi gulabi note hazar hai Middle class ka hu Meri jarurate saman hai Na luxury car hai Na nhi cycle apni bekar hai Middle class ka hu Auto,riksha, paddle chalna Apne liye aam hai Na meri girlfriends char hai Na hi single rhna izzat ka swaal hai Middle class ka hu Apne yaar,dost shandaar hai Na aasman chhuti imarto par likha apna naam hai Na hi sadak kinare bitati apni shaam hai Middle class ka hu In dono ke beech Kaat leta apni raat hu Na videsh ghoomnta hu Nahi sehar se bahar jaana muskil samjhta hu Middle class ka hu Apna desh pura ghoom lena bhi bahut samajhata hu Na sir jhukane wale log hai Na hi sir jhukane wale hum hai Middle class ka hu Sabko gale lagana hi Apna dharam hai Na hi ac mein kaam karta hu Na hi dhoop mein pasina sukhata hu Middle class ka hu Pankhe ke niche apna kaam karta hu Na suraksha karmi apne pass hai Na hi sarir apna lachar hai Middle class ka hu Apni jaan ki raksha apne hath hai Na chhapan pakwan banate apne maharaj hai Na hi khaali pet sota apna pariwaar hai Middle class ka hu Meri maa ke haath mein hi sara sawaad hai
0
Aug 5, 2018
Aug 5, 2018 at 2:59 AM UTC
Middle class ka hu
Rishtey wo nahi hote jo duniya ko dikhaye jaye, Rishtey wo hote hai jo dil se Nibhaye jaye. Rishtey nibhana har kisi ke bas me nahi, Ab to bs rah gyi hai yadon ki haseen gali, Rishtey wo nahi jo sirf sukh me kaam aate hai, Rishtey tou wo hote hai jo dukh me sath nibhate hai, Rishta agar es dil se hota hai, Wo rista bda hi atut hota hai, Rishta banao tou use dilon jaan se nibhana, Kisi ki bhawnao ka mazak na udana, Kisi ki zindagi bankar uski zindagi na chhen lena, Aankhon mein aansuo ka tohfa na dena, Rishtey me khatas nahi mithas hona chahiye, Rishtey me bahas nahi vishwas hona chahiye, Wo rista ek na ek din tut jata hai, Jo rishta dil se nahi dimaag se nibhaya jata hai, Saath chhodne wale tou bus majburiyon ka haath thaam lete hai, Nibhane wale tou maut ka darwaza khatakne kya aakhiri saans tak hamare saath hote hain, Rishtey tou milte hai mukaddar se, Sanjo lo unhe dil mein, Jis rishtey ko us khuda ne bnaye hai, Ek na ek din use jaroor milaye hai, Jab do dil ek ** jate hai, Tab wo ek anmol rishtey kahlate hai.... Collaboration  by Shrivastva MK and SoniaParuthi*
0
Apr 6, 2018
Apr 6, 2018 at 1:45 PM UTC
RISHTEY....(COLLAB POEM)
Pyar me ek ldki ki khwahish apne partner se... Ldke thoda samjhe...meri feelings in kuch lines K jariy... Ladkiyan krti hai pyar dil-o-jaan Se.. Ldkiyan nibhati h riste ko bade aaram se... Ladkiyan sanjoti hai apni khwahishe ko seese ki kaanch me.... Bikhrte hai wo khwahishe riste ke naam pe... Ladkiyan nahi karti apni khusiyo ki parwah relationship me.... Isiliy bali cadhti hai unki khusiyo ki sare aam pyar ke naam pe... Ladkiyan sab karti hai rista nibhane ko.... Par.... Par.. Gaur kriyga unki ldko se expectations v/s reality... Ladki Cahti hai ldke ka pyar... Ushe milta h bus ldke ka gussa yrr... Ldki cahti hai ldke ka waqt... Ushe milta hai bus intezaar... Ldki cahti hai ldke ki understanding... Milta h ushe bus misunderstanding... Ldki cahti hai unka trust... Milta kya hai frustration ke balloon ka brust... Ldki cahti hai bus apka sath... Aur app krte ** unke har khwahiso ka kaam tamam... Kaam Tamam..
0
Mar 18, 2019
Mar 18, 2019 at 8:21 AM UTC
Kahani ldkiyo ki....
Chalo aaj kuch naya sikh lete hai! Jis vakt ko roz dhoondha karte the vo mil hi gaya hai, To Chalo aaj kuch naya sikh lete hai! Har roz jis shauukh ko bolte the yaar vakt hi nahi tere liye, Chalo aaj use bhi kuch vakt de dete hai! Har baar kisi ko unsuna kar dete the yah keh k ki yaar vakt nahi hai, Use bhi thoda sa aaj kuch sun lete hai! Kisi ke kaam mein hath bata lete hai thoda sa, Ya kisi ke saath yuhi kuch der baith jate hai, kabhi jo tumhare waqqt ka intezar karte the, Chalo aaj unhe bhi pura waqt de dete hai! Fir shuru ** jayegi zindagi, to fir wahi kahenge ki vakt nahi mere paas, To aaj jo waqt mila hai use thoda sa jee lete hai, Chalo aaj kuch naya sikh lete hai!
0
Jun 1, 2020
Jun 1, 2020 at 2:39 AM UTC
Aaj kuch naya sikh lete hai
Maine kabhi kissi ko nahi bataya ki main tujhse pyaar karta tha , Fir bhi saara zamana mujhe tere naam se chheda karta tha . Unko chup karane ke liye main tujhse ladta tha Akele mein ghanto roya karta tha . Maine kabhi kissi ko nahi bataya ki main tujhse pyaar karta tha Fir bhi saara zamana mujhe tere naam se chheda karta tha . Maine unse puchha ki unhe aisa kyun lagta hai , Unhone kaha unhe meri aankhon mein tere liye pyaar dikhta hai . Tujhe kabhi mera pyaar nahi dikha Shayad isliye, kyunki main kabhi dikha hi nahi paya. Hamesha zamane ko hi chup karane mein laga raha Kabhi tujhe apne dil ki baat keh hi nahi paaya . Teri yaadein mujhe bahut satati hain Na din mein kaam karne deti hai Na raat ko sone deti hain Bass tere baare mein sochne par majboor kar deti hain .
0
Apr 30, 2020
Apr 30, 2020 at 5:13 AM UTC
First love (part 2)
Insaan Insaan Hauta Hai Kalaa , Gora , Peela ya Sawla. Insaan Insaan Ko Hi Maarta Hai Dhan, Kapda , Kaam Ya Audaa. Insaan Insaan Hi Reh Jaata Hai. Waqt , Aqaal , Jagaah Ya Saubaat Insaan Insaan Tau Nahi Bantaa Gadddar, Kaatil , Na Farmaan Ya Jhoota. Insaan Insaan Hau Hauta Hai Waqt Bhi Badaal Jaayi Woh Nahi Badlai Ga
0
Sep 10, 2020
Sep 10, 2020 at 12:52 AM UTC
Insaan
Thoda sa Maa ka pyar rishte nikhaar deta h.. Papa ki daat m chupa dher saara pyaar hota h. Khushnaseeb hote h vo log jinhe ye rishte naseeb hote h.. Khuda bhi sahi kehta h jannat dekhne ki jaroorat nii jannat k jaisa hi parivaar hota h.... Aaj Kal k daur m rishte Kaun nibhaata h.. Kaam pade to yaad Karo warna Har koi bhool jaata h.. Rishte nibha k dekho janaab khwahisen poori ** jaati h... Aur unhi khwahison se ek pyaara sa parivaar ban jaata h...
0
Mar 18, 2018
Mar 18, 2018 at 11:22 PM UTC
Parivaar
Are ye to batao tum chahte ** kya? Alag thalag bhi kar doge, jo pana chahte ** vo pa loge ham bhi bhul jaenge magar itihaas nahin bhulega. Dange bhi karaaoge, khedh bhi jataoge ek baat yaad rakhna tum bada pachtaoge. Namak wali rotiya khilaoge, pani wali chai banaoge Bin karan lathiya chalvaoge Aazad desh bolkar media ko zukaoge Dhayan bhatkakar chai va biskut bhi tum khaoge Per ek na ek din apne aap ko katghare may paoge. CAA ke naam par humay daraoge betu ke kazag makang kar bahar ka rasta dikhaoge kapdo ka rang dekh kar chronology tum samjhoge antinational bolkar har prashn ko tum dabaoge Jo aag tumnay lagai vo kesay bujaoge Aaesi hi lagaygi us maa ki k phut phut kar marjaoge. Bus mann ki baat tak simit rahakar kaam ki baat bhul jaoge. Ek press conference to hoti nahin tumse tum kya aatmnirbhar banaoge Saal dar saal shrif aarakshan ko hi tum badaoge, China ko jhutha bolkar, detention camp banvaoge. Marne ke bad shidha tum narak mein hi jaaoge. Ek baat yaad rakhna dost tum bada pachtaoge, TUM BADA PACHTAOGE.
0
Oct 10, 2020
Oct 10, 2020 at 4:31 AM UTC
Tum Chahte ** Kya?
Ajab si khamoshi hai Hawao me ek roshani chhae hai Logo ko bade arso baad fursat mili apno ke bicha rehane ki kyun ki Corona ne chaaro aur koharam machae hai Loga ko aj smjha raha is musibat me daulata kaam na aae hai Bs ghar se bahar na nikalo sarkar ki itni hi guhaae hai Phir bhi kuch sadko pe ghuma rahe hai Shayaad unko baat smjha na aae hai Dusaro ko kyun jokhim me daal rahe ** Waise hi itni badi aafat china ne laae hai Doctor desh sb to lada rahe hai Ab hume bhi saath mila kar ladani ye ladae hai Swastha rahe ghar pe rahe.
0
Mar 31, 2020
Mar 31, 2020 at 11:08 AM UTC
Stay safe stay home
Hey rabba sukriya jo tune yh zindagi diya Jine ka mauka brpur esme diya H rkha mushpe varosha hmesha Saath na kbhi mera chutne diya Kabhi kitaabo m saathi bna kabhi khayalo m raahi bna Jb v ghum hue khusiya tune fir unse ru-ba-ru kra diya Sukriya jo tune mera saath diya Jine ka ek aash diya Saath to tera mila ab to dr v nhi lagta Kuch khone s tune jo thame haath h khul K jina ki khusiyaan ab hmare pass h Sukriya bhala karu Kin kin baaton ka etne tere aheshaan h ki sukriya kehene ko km pr jaaye yh saash h Tune jannat ki sher krae Khudh m hi hsne ki aash jagaae Kbhi thi m v dri sehemi si pr tere saath ne umeedein bharpur jagaae Or un umeedoon ne khusiyon ki h barsaat karaae Hey rabba sukriya kehene ko km jnm yh pr jaaye For v enn khat K jariye Kosish meri kaam aaye Ek baar fir sukriya jo tune hr pal h mere swath nibhae
0
Jun 1, 2021
Jun 1, 2021 at 11:33 AM UTC
Ek khat mere rabba K naam
Kisi se Nafrat krna b bda zehmat ka kaam h Begairat jo bnna pdta h Us shqs SE BaaT krne ki talab ko Baar baar jo dfnana pdta h
0
Jun 23, 2020
Jun 23, 2020 at 12:26 PM UTC
Nafrat
ab aa rahe ** toh jaana mat ! busy hoon , gharwale saath hain , ese bahane banana mat ke ab kabhi chodh ke naa jaane ke khwaab dikhana mat aur ab hi gaye ** na toh jaana mat ! ye block unblock phirse shuru ** jaana mat aur is baar mere hi saamne kisi aur ka haath pakad besharam ** jaana mat zindagi me aa rahe ** dil me aana mat ab aa hi gaye ** toh jaana mat ! magar jaana toh tumhein hai dusron me mooh maarna toh tumhein hai ke mujhe apni aadat daalke khin kho jaana toh tumhein hai ... mgr ab rhoge kahan dil toh tumne todh dia toh tum dhoondhlo naya thikhana ab aur ek kaam kro ab aana hi mat k chle hi jaao vaapis aana mat ! -aadi
0
Jan 23, 2020
Jan 23, 2020 at 1:07 AM UTC
Untitled
Yaha rishton ke jaal mee aapko fasaya jata hai... Aur jab aap uss rishte ke bandhan mee bandh gye aap toh aapko apne matalb ke liye uksaya jata hai.... Jab matlab bakhubi nikal jaye toh aapko wapes see bewakoof banaya jata hai... Aur yee silsila hai jaari iss duniyaan kaa waah re duniyaan tu bhi na jane kitne rang ek girgit kee tarah dekhata jata hai.... Na puchoo haal uss saksh kaa jo apne sakshiyat bhula kee dusre kee kaam aata hai... aur anntt mee usee saksh ko ek pagal kaha jata hai... Waah ree duniyaan tu bhi na janeee kitnee logic lgataa hai.
0
Oct 19, 2020
Oct 19, 2020 at 12:54 AM UTC
Waah re Duniyaan....
"mujhe nahin lagata ki main aakhiree saans tak jinda rah paoonga, tumhaare bina unaka kya kaam hai " I don't think i can live till my last breath , what are those without you
0
Feb 12, 2024
Feb 12, 2024 at 6:07 AM UTC
12-02-24
Jab galat password lagaane se mobile nahi khulta Toh zara socho galat kaam karne se jannat ka darwaaza kaise khulega ?
0
Jul 1, 2020
Jul 1, 2020 at 3:43 PM UTC
ZARA SOCHO
pyaar ek bandhan banana hota hai, aap iss aage nahi ja sakte, hamesha woh aapko vichalit karte rahte hai, aur hamesha aapke saath baatein karte rahte hai. pyaar karne ke liye khushi aur dukh uske saajha karna hota hai hamesha uske pagalapan mein shaamil hona padhta hai hamesha use garv ke saath muskuraane ka ek kaaran dena hota hai aur jab bhi aapko uske taraf se aapka zaroorat ** uske saath dena hota hai pyaar karne ke liye ek saath ghar banana hota hamesha ke liye jeevan banane aur jeene ke liye, uske mijaaj ko dekhane aur sambhalane hote hai aur chhote-chhote kaam karke use khaas mahasoos karna hota hai pyaar karna hai saajha karna aur dekhbhaal karni hoti hai hamesha usko mahasoos karne ke liye vishwas hona chahiye uske sabhi sapnon ko poora karne ke liye, aur hamesha "I love you" kahein. ye hota hai pyaar♥️
0
May 5, 2020
May 5, 2020 at 8:03 AM UTC
Pyaar kya hai ?
Chal paddi thi gaadi taka tak Hawa shayad thoda zaada hi bhar diya Befikri ka safar, aa pohoncha uss keel par Tamasha, shayad thoda zaada hi bhar diya Ab pahiya toh tha rubber ka hi Humara kya isne kadar kiya Gir pade hum, lag gayi chot Fir humare dard ne bhi asar kiya Ab iss keel ko bhi hum kya koosein Kambakht hai toh yeh lohe ka diya Sadak se dosti ki aas hum hi laga baithe Bhool gaye ki yeh toh hai bas ek zariya Humne kaha kuch pal yahin bita lein Puncture banane ka kaam fir shuru kiya Pahiya toh fir bhi chal jayega janaab Yeh reh jayega banke chhed, Humne na kissi se kabhi zikr kiya
0
Jun 27, 2021
Jun 27, 2021 at 4:01 PM UTC
puncture.