Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi,
geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Zindagi ke sabhi raste ek the,
sabki manzil tumhare chayan tak rahi.
aprakashit rahe peer ke upnishad,
man ki gopan kathayein nayan tak rahi,
Praan ke pristh par preet ki vartani
tum mitati rahi, mai banata raha

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi, geet me dhal gayi,
Manch se mai tumhe gungunata raha.

Ek khamosh halchal bani zindagi,
gehra thehra hua jal bani zindagi,
tum bina jaise mehlon me beeta hua
urmila ka koi pal bani zindagi.
drishti akaash me aas ka ek diya
tum bujhaati rahi mai jalaata raha.
Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak,
roj jaata raha, roj aata raha.
Tum gazal ban gayi ban gayi,
geet me dhal gayi,
Manch se main tumhe gungunata raha.

Main tumhe dhundhne swarg ke dwar tak..!!
Copyright© Shashank K Dwivedi
email-shashankdwivedi.edu@gmail.com
Follow me on Facebook-https://www.facebook.com/skdisro
Àŧùl Feb 2016
Transliteration:
Kabul kab luti ye to na maaloom chal saka,
Magar kamobesh halchal to kabhi se thi.

Translation:
When Kabul was gutted it couldn't be known,
But the drift was more or less the same since long.
I'm happy now.

Self-derived definition:
Whimmings, like whim, can also relate to sudden change of mind.

My HP Poem #1028
©Atul Kaushal
Ankit Dubey May 2019
koi fikar unko nahi meri,
aur na hi mujhko meri kadar rah gayi,
vo ** gaye jis din paraye,
jindagi meri jis din kisi gair ki bahon me aa gayi...
na toofan koi aaya,
na koi hui halchal,
bas raat bhar jaga,
aur subah sab taraf mayusi cha gayi,
vo ** gaye jis din paraye,
meri maut ki tasdeek ** gayi....
koi sitam na kar sake vo mujhpe,
na kabhi ek najar pyar se dekh mujhko,
khud hi khud me nafrat ki,
aur le liya na chahkar badla meri mohabat ka,
ek dam se choda sath mera,
vo kisi aur ki mahbooba ** gayi,
vo ** gaye jis din paraye,
meri saanson se tauba ** gayi....
na manga kabhi koi hak ,
na koi khatir kar saka,
bewajah rota raha,
tadapta raha bas pyaar me,
chah kar bhi kuch na mila ,
bas jindagi tabaah ** gayi,
vo ** gaye jis din paraye,
unki aadat hi bas,
mera ant muqarrar kar gayi.....
Manvee Chauhan Apr 2020
Kuch ajnabi si halchal..
Kuredd rhi hamare Dil ko pal pal!!
Najaane kya bayaan krna chahti h..
Shayad aane waali koi aandhi h, Jo Hume barbaad krna chahti h!!
Najjane kya Sandesh lekar aai...
Shayad nhi samjh paa rhe hum iski gehraai!!
Kuch andherapan sa chaa rha h...
Jo Hume shayad pal pal maar rha hai!!
Kuch to ajeeb baat hai...
Shayad aane waali ek kaali Raat h!!
Shayad koi apna hi hai iske piche..
Jo dhakel rha Hume sabse niche!!
Shayad qismat mein hai yahi Likha ...
Ki Hain hum uski life ka ek maamuli sa sikka!!
Jo shayad koi keemat nhi rakhta h...
Lekin vo shayad nhi jaanta ki ye sikka Uske liye Jaan Dene ki Bhi himaat rakhta h!!!!!
                                    - manvee chauhan
Ghumsum mein kyu?
Maikhane me bhi itna anjaan hu
Jane kaisi dil ki halchal
Ghumta raha me pal pal

— The End —