Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Dil ki kalam se kuch likhte hain aahat,
Bn chuke hain aap hamari aadat.

Aapki pyaari si muskurahat dekh jo sukoon milta,
Hamara masoom chehra bhi nanhi kali jaise khilta.

Saanso mein chupi har hayat hai aapki,
Jab aap hain saath sawar jayegi zindagi.

Do pal bhi nahi reh sakte aapke bin,
Raatein kat jaati taare gin gin.

Naam aapka pehchaan hai hamari,
Har dadhkan ki awaaz hai tumhari.

Hothon par muskurahat hai aapke naam ki,
Aapke khayalon mein uljhe raat se subah ** jaati.

Qubool ** gayi dua hamari,
Mil jo gayi humein chahat tumhari.

Nahi hai koi Chah ab hamari,
Jabse judi humse dadhkane tumhari.

Jazbaaton ka sagar hai gehra,
Dil mein hai humsafar ka basera.

Mohabbat ka rang aisa chhadhaya hai tumne,
Feeke lagne lage har rang iske saamne.

Jaane kis qadar imtehaan leta hai khuda,
Bs gujarish hai usse karna na kabhi juda.

Jab tak dadhkane chal rahi hain unki,
Zindagi ki har saanse hai sanam sir aapki.

Jahan mera humsafar **,
De dena jagah humko.

Har kadam par saath chalna piya mere,
Jeene ka shauk nahi ek pal bhi bin tere.

Har pal sirf aapko yaad hain karte,
Jaane kab mitange ye meelon ke faasle.

Saath nibhayenge har mod par aapka,
Tumhare andar paya humne khuda apna.

Shiddat se itna chahte hai tumhe,
Labzo mein baya nahi hum kar skte.

Aisa koi labz nahi jo is sacchi mohabbat ko sanjo le,
Mohabbat se kai upar hai ye mohabbat jisko koi naam na de .
Ain Sep 2020
Kuch fasanon ko afsana hi bana rehne do...
Behtar bhi yehi hai ke yeh ishq fana rehne do....

Haan yeh Maana ke Jab dil ke taar jud jaate hain....
Un dilon mein phir shanasaaiyan badh jaate hain...

Par Jab ek din unki rahon ko juda hona hai....
Har qadam par phir unko to kuch khona hai....

Aise rishte pe ek lagaam si hi rehne do. ....
Sabr karlo saqi ke jaam dhara rehne do. ...

Faasle bante hain to badh ke inhe badhne do...
Wasl ke khwaab ko libaas e hijr se sajne do...

Haan woh tha ek deewana aur uski Noor thi tum. ...
"Ain" mein uske basi past e shakl e **** thi tum....

Ashk ki shakl mein ab aankh mein bas jaane do....
Aaine aab mein dayam use kho jaane do....
Khuda ke dar ke siwa agar karni ** bandagi,
Mera sir jhuke mehboob ke aage jo hai meri zindagi.

Ibadat karti hu is sachhi mohabbat ki,
Mere humsafar ke bin ye jaan hai aduri si.

Chand roz chamakar intrane laga,
Mere chand ki tasveer dekh khomosh ** gaya.

Ajeeb si betaabi hai tere bina,
Tujh bin har ek pal ye dil ne gina.

Ashq behne lagte hain yaara,
Ek pal ki duri bhi nahi hai gavara.

Log jaate hain mandir masjid khuda ko talaashne,
Apna khuda ko khoj liya humsafar mein humne.

Jaam tou unke liye hai Jinhe nasha nahi hota,
Ishq ke rang is qadar hum par hai chadha.

Aapki yaadon ke nashe mein har lamha doobe rehte,
Is dil ki har dadhkan mein sirf mere mahadev baithe.

Mera khuda hai mere humsafar,
Humesha saath hai aapke chahe kaise ** manzar.

Karwate jitni marzi badal le aye zindagi,
Haskar dard chupane ki karigiri mashoor hai meri.

Par jab aap saamne aate,
Hum sudh budh ko baith te.

Har baat tumse hi befikra hokar aapse keh dete,
Ek aap hi tou hai duniya mein jo humein samajhte.

Dil ke har jazbaat ko bin kahe hi padh lete,
Aapse ek baat hum kehna chahte.

Kabhi udaas na hona aap humsesha aapke hain saath,
Majbooti se pakda hai humne aapka haath.

Saamne na sahi kahin aas-pass hi hu
Rooh se judi hai hamari aabru.

Kuch na kar payenge meelon dur ke faasle,
Palkein band kar dekhiye aapke dil mein baithe.

Aasmaan se farishta utarkar,
Dil mein sama gaye aakar.

Mohabbat hai hamari ibadat,
Aapke aane se mili dharti par jannat.
Aapko paake aisa laga jaise humne apna  khuda paa liya,

Kami zindagi mein nahi hai koi aapko deke rab ne sab de diya.



Zindagi ki har khushi mil gyi hai humein aap mile zindagi mil gayi,

Is dil ki har saans mein aapke dil ki dadhkane hain samayi.



In labon par muskurahat hai sirf aapse ,

Aapko pakar khushnaseeb hain hum bhut kasam se.



In hawao ki sarsarahat mein bhi hai aapka ehsaas,

Fark nahi padta kitne meelon ke ** faasle dil ke ** aap humesha pass.



Aapke naam se poora hota hai humara naam,

Hum humesha hai aapke sirf aapke sanam.



Aapki har khwaiysh poori **,

Sabse jyada khushi milegi humko.



Aapse hai wajood humara,

Dil ki dadhkano ko aapka hai sahara.



Kayenaat ki khwaiysh nahi hai mujhe,

Humari duniya tou hai aapse.



Lafzon ke dehleez par shabd nahi hai koi,

Jo bayan kar sake ki humein aapse kitni mohabbat hoyi.



Sacchi mohabbat aapki shiddat se badhkar ki hai aapse,

Zinda rehne ke liye humein saanso ki nahi zindagi hai aapse.



Labon ke peeche ki khamoshi padh lete **,

Bin dekhe hi humein dil ka haal samjh lete **.



Kaise keh du meri dua ** jati hai beasar,

Jab bhi dil se yaad karun aapko humesha apne pass pau mere humsafar.



Jis kadar aap fikar karte ** humari,

Mil jaati hai khushiyan saari.



Achha lagta hai aapke chehre ki dekh muskurahat,

Aapko khush dekh milti hai is dil ko rahat.



Jaanejaan aap itne pyaare ** bhut acche **,

Kisi ki bhi nazar na lage kabhi aapko.



Ishwar humesha aapko mehfooz rakhe,

Har janam aapki shivani humesha mere shivai ki rahe.
Megha Thakur Jun 2020
Ye kahaani meri hai,
Kuch adhi hai kuch puri hai.

Kabhi to hai dil ke paas,
Kabhi inme duri hai.

Ye jo faasle hai na,
Filhaal ye ek majburi h.

Bairhaal to bas yun hai,
Ke sab chal raha hai.

Koi nahi janta ki,
Konsi kahaani puri or konsi adhuri h.
-Megha Thakur
Janid Kashmiri Nov 2024
Takta hoon tum ko, yeh dil behak jata hai  
Tumhare jalwe mein jahan tham sa jata hai  

Tumhari aankhon ki gehraayi mein doob jata hoon  
Tumhari muskaan pe har dard bhool jata hoon  

Tum chalti ** to hawa gungunane lagti hai  
Tum bolti ** to khamoshi bhi jagti hai  

Yeh dil tumhare lamss ki tamanna liye  
Har lamha teri qurbat ki dua kiye  

Magar tum door **, yeh faasle kyun hain?  
Yeh faaslon mein bhi mohabbat ke geet kyun hain?  

Takta hoon tum ko, aur jeeta hoon tum mein  
Tumhare khwabon mein, aur haqeeqat ke gum mein

— The End —