Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Sachin jeengar Dec 2017
Aao sathiyo Mai tumhe thoda sa vyapar sikha du
Machino ki is duniya Mai bikta Ye insan dikha du
Suraj se Brahmand tak fir Prithvi se Ye chand tak
Kahaniyo k Mai aj hazaro gulistan bicha dun
Aao sathiyo Mai....
Badal raha h waqt Ye Yaro badal rahi h duniya
Badalti is duniya Mai sambhalta Mai insan dikha du
Aao sathiyo Mai...
Hai daud yaha par paise ki paise ka mayajaal h
Hota ik pal Mai idhar udhar kaisa bedhangi kamal h
Kamaal ki is sajish ka Mai tumhe sartaaj bata du
Aao sathiyo Mai...
Tum dhund rahe the aj jise kal Mai kese mil jaega
Jo kho chuka vo ** chuka tu khud ko kese batlaega...
Mai batlata hu tumhe ab tum ko bhi Ye chaal sikha du
Aao sathiyo Mai...
pnam Nov 2023
Dil mey merey bas-tey-** tum
Har pal tumhey dhund-tay fir kyon hum?
Palkon mey sapnon mey nazar-aate-**  tum
Deedar ke liye taras-tey hain fir kyon hum?
Ishq mey sauda manzoor tha kuch judaai ke gham
Har pal tere intezaar mey tadap-tay kyon hum?


English Translation..

In my heart you reside so true
Why then in every moment do I still seek you?
In my dreams in my sight you're always in view
Why then my eyes search for a glimpse you?
In love, a bargain of separation and pain we knew,
Why then, waiting for you, do I writhe in blue?
Simran pawar Jul 2020
Bewajha
Kisi raha pe ,
Ghum ** jau me to,
Fr dhund ne
Bhi mat ana..

Agar yaad aye mere alfazo ki,
Meri Kavita ki khushboo
Apne saath samjhna,

Na ** ke bhi
muskura dungi,
Es bheegi raat me ,
Zindagi ki Kahani se vakhif kara dungi.

Dhub te pao jab khudko,
Khud se ek sawal karna,
Aur bhul ke vo baat,
Aaage zindagi ke aur badalo se mulakat karna.
Mothsome Dec 2019
Mujhko itna sudhar k kya karoge. -2
Main !!!! Khud Main na raha to fir mera kya karoge.
Dhund Lo na koi aur jaisa tumhe pasand hai.
Mujhpe itna mehnat kyun karoge.
Diya soni Jun 2023
Koi mujhe hi aake bata de kya h mere man ka hal? Kyuki me bezuban hu.

Koi mujhe hi aake bata de ki me kya chahti hu, kyuki me kayar hu

. Koi mujhe hi aake sikha de apne liye ladna  kyuki me mashroof hu apne khilaf gawahi dene me.

Koi mujhe hi aake dhund de mujhe,
Rasta jo bhatak chuki hu
Aur rah milne wale log bhi jaha pohchna na h waha ka pata sahi nai bata rhe

Pata nai roshni aur kitni door h, shayad koi dur se batti dikha de ki manzil waha h

Koi mujhe bata de ki hadson ki wajah se
Andr sab kuch bikhar chuka h ya abhi kuch baki h

Koi to ** jo mujhe bata de ki jo me hu aur jo me hona chahti thi, in dono ko kese ek karu

H koi esa raahi? Jo mujhe hi dekh kr bataye me kitna dur aa chuki hu, kyuki meri raahein to dhundli dikhti h mujhe

Aao aur mujhe batao meri kimat kitni h iss safar me.. kyuki mera hisab bigad diya h duniya ne

— The End —