Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Azhar Sabri Dec 2014
Ghar me taare hazaar laaya hoon
Chaand chhat pe utaar laaya hoon
Bohot roka samandar ne mujhe
Phir bhi kashti ko paar laaya hoon
aster gayavi urdu shayari
Simran pawar Jun 2020
Nazdeekiyo se mohbaat hua nahi karti,
Khamosh rhene se dilo ki dooriya mita nahi karti,
Tere saath gujra har pal yaad ane laga,
Jab bhi khoshish ki bhulane ki ,
Doori chhat ki saza ban gayi,
Uski yaad to jeene ki wjha ban gayi.
Pranay Patel Oct 2020
Mai paida ** sakta tha use maa ki kokh say
ya fir us maa ki kokh say
lekin hua is man ki kokh say
jiske pati ka naam ye tha.

Mujhe kisi ne pucha nahi
na jaane ki kisi ne koshish ki
bus bol diya ki tu ye dharma ka hay
or yha teri jaati hai.

Parjab bade hokar main nay
in zanjiro ko todna chaha to jana ki
mere apne hi vo zanjeer bane baithe the.

Jab vivas hokar mein chhat pataya
to paya ki vah hati ki rassi
jo zanjeer bane baithi thi vo tut ***.
Or  tab samajh mein aaya ki
us hathi ki rassi ki koi galti nahi thi
vah to bus meri pariksha thi.

Mein paida ** gaya us man ki kokh say
jiska pati ka naam ye tha.

— The End —