Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ain Sep 2020
Ab neend aa rahi hai bohot
Ab so jaana hi padega...

Socha tha kuch baat kar leti
Raat ka haal pata kar leti...
Der magar ** rahi hai bohot
Ab so jaana hi padega
Ab neend aa rahi hai bohot....

Tum jis neend ke dariya mein...
Tair rahe ** khwabon mein...
Us dariya ki ab talab hai bohot...
Ab so jaana hi padega
Ab neend aa rahi hai bohot....

Uthe nahi tum ab tak bhi
Soye nahi hum ab tak bhi
Waqt zalim mein farq hai bohot
Ab so jaana hi padega
Ab neend aa rahi hai bohot....
Riddhi N Hirawat Nov 2019
Ek metro, saanp si guzar rahi hai kuch duur
Ek nabh faila hai uske upar - Neela sa kaala
Ek chaand chamak raha hai uss nabh mein
Kuch baadal sarak rahe hain paas mein uske
Usi metro ki tarah par dheere zara
Thandi hawayei hain.
Usme goonjta mera aaj khada
Kuch thandak hai inn hawaon mein
Aur bohot sara sukoon bhara

Aisi hi hoti hai wo chaand ki thandak?
Jinhen sunte, apna bachpan beet gaya
Kya sheetalta swarg ki aisi hai kahin?
Jisey suna kayion ka jeevan guzar gaya
Kya raambaan sukh yahi toh nahi
Kya kamdhenu vriksha aisa tha kabhi
Kya Ramcharitmanas mein hanumat
Ka Rambhakti amrit lagta tha yun hi?

Aisa hi amritmay bachpan mein,
yaad hai mujhko lagta tha
Zameen se shuru uss lambi khidki
Se yahi chaand chamakta dikhta tha
Mama sa ban chup shant bhav se
Kuch baatein meri sunta tha

Kyunki khud bhumi par bistar pe so
Holi mujhe khilayi thi
Khud bhookhe reh uss ke paiso
Se mere bhai ko idli chakhayi thi
Bohot pasand thi usko uski idli
Aur rangbhari mujhe holi meri

Kya kabhi unhen main unka wapas
Ye rinn chukta kar paungi
Kya kabhi unnsi balwaan main ban kar
Unke liye itna kar paungi?
Kya usi chaand ki thandak si khushiyan
Unki jholi mein bhar paungi?

Kya bhool maaf karne ki hadd
Ko paar kar kar ke thake nahi wo?
Kya raat bhar bhi jagkar subah
Hans dawa banna bhoole nahi wo
Kya insaani roop mein hain
Bhagwan, "maa baap" kehlate jo?
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Syed S M Tabish Mar 2014
Main Aur mere roommates
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Ghar saaf hota to kaisa hota
Main kitchen saaf karta, tum bathrooom dhote
main hall saaf karta, tum balcony dekhte
Log is baat pe hairaan hote
aur us baat pe haste….

Main aur mere roommates,
aksar Yeh Baatain Karte Hain
Yeh hara bhara sink hai
ya bartanon ki jang chidi hui hai
Yeh colour full kitchen hai
ya masalon se holi kheli hai
Hai farsh ki nayi design
ya doodh, beer se dhuli hui hain

Yeh cellphone hai ya dhakkan,
sleeping bag ya kisika aanchal,
ye airfreshner ka naya flavour hai,
ya trash bag se ati badboo
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut
ke heater phirse kharab hua hai
Yeh sonchta hain roommate kab se gum sum -
Ke jab ke usko bhi yeh khabar hai
Ke machar nahi hai, kaheen nahi hai
magar uska dil hai ke kah raha hai
machar yaheen hai, yaheen kaheen hai !

Toand ( pet ) ki ye haalat, meri bhi hai, uski bhi,
dil mein ek tasvir idhar bhi hai, udhar bhi
Karne ko bohot kuch hai magar kab kare hum
Kab tak yoon hi is tarah rahe hum
Dil kahta hai Safeway se koi vaccum cleaner la de
ye Carpet jo jine ko zoonz raha hai, fikwa de
Hum saaf rahe sakte hai, logon ko bata dain,
Haan hum roommates hai – roommates hai – roommates hai

Ab dil main yehi baaaat, idhar bhi hai udhar bhi..

Sab ko bata dain..
Ain Sep 2020
Khoobsoorti sadaf ki be misaal hoti hai....
Raaz hai uska jo chipa us mein ek moti hai.....

Sadaf ke do pat gar misaal e miya biwi hain...
Unki shadi ka rishta hi woh chipa moti hai...

Naazuk magar bohot woh baareek taar hota hai. ....
Jo us moti ko bana ke haar apne mein pirota hai...

Lamhe se lamha judta hai to ek zindagi banti hai...
Aur do zindagiyan milti hai to  ek shadi ki ladi banti hai...

Qadam se qadam milane mein khud ki pehchaan bhi khoti hai...
Alag se rang mein rangi phir shaksiyat dono ki nikharti hai....

Azwaji zindagi ke kuch apne masale bhi hote hain...
Kaanton se bhari raahon mein paththar bhi biche hote hain....

Zakhm in rahon par chal kar zaroor hasil hote hain...
Tab woh dono hi to ek duje ka marham hote hain...

17 saalon mein maine to bas itna hi seekha hai....
Hai woh kaamyaab rishta mohabbat se jisko seecha hai...

Sona chandi jis tarah ek aurat ko sajata hai...
Pyar o ehteraam waise hi rishte ko banata hai...

Wafa ka bhi to ek bohot ehm muqaam hota hai...
Qaayam uske dam pe hi to aitmaad hota hai....

Kuch aise hi to daqeeq yeh uroosi rishte hote hain....
Beinteha mohabbat se jinhe in jodon ne seechein hain...

25 o 50 salon ka yeh safar e taweel mubarak **. ..
Aapko yeh khoobsurat qaid e hayaat mubarak **. ..

Dua karti hain "Ain" laa zawal mausam e ulfat **....
Masrur rahe hayaat, har lamha pur rifaqat **...
Azhar Sabri Dec 2014
Ghar me taare hazaar laaya hoon
Chaand chhat pe utaar laaya hoon
Bohot roka samandar ne mujhe
Phir bhi kashti ko paar laaya hoon
aster gayavi urdu shayari
Debanjana Saha Nov 2017
Ek dost Tha Mera
Rehta Tha dur sheher me
Aata Tha kabhi kabar
Dher saare khushiyaan lekar
Din ya raat **, hasna muskurana,
Kabhi Kam na hota tha..

Jab bhi aata Tha
Har Roz milta Tha
Bohot der tak rukne ko taiyyar tha
Kabhi bola nahi-
K nahi yaar, aaj nahi.

Din badal Gaye mahine me,
Aur mujhe degaya har khushi
Jo kabhi mile na the!

Par ek din aisa bhi aaya,
Jab wo ghar Chala Gaya
Aur wapas kab aayega
Pata na tha..

Din, mahine bidte gaye
Par Akhon me asha kabhi na miti!
Usey bol to nahi payi
K dost kabhi to aa..

Ab har din naye dost banati hu
Hasti hu, khilkhilati hu,
Khush rehne ki koshish karti hu.
Din ya raat bahar rehti hu
Is umeed me k har Hawa me kabhi
Tu mil Jaye mujhe
Aur har din
Tere yaad me guzar leti hu..

Kabhi to aayega tu..
Din mahine saal
Shayed beet Jaye..

Kabhi to aayega tu..

English translation-

I had a friend,
Who stayed in another city,
Used to visit me every other day,
Bringing loads of happiness altogether
Without any shortage of Smiles or laughter.

Whenever he was here,
Everyday he used to meet me
Was ready to wait for me long
Never said, no today I can't.

Days passes by
And months too
And he gave me all happiness
And everyday seemed like a festival
Which I never had a chance to live!

But there came a day
When he had to return back home
Never knew when he would be back!

Days passed by
and months too.
But in my eyes,
Hopes never extinguished,
Never ever had I said
That friend- come back soon.

Everyday I make new friends
I smile, I laugh out loud.
I try to be happy
each and every day.
Day or night, I stay out
In the hopes of life
that the winds would
bring me closer to you.
And everyday I live
in the memories of you

May be someday
I would see you,
Days, months, years
Might pass by too,
May be someday..

Someday you will be back too..
I wrote this poetry dedicated to my friend who stays far off. I love him, I miss him loads. Hoping that we would be together all over again. There are days when I can't bear the pain of being apart. Neither can I express it in any way. The best way I could express was through this poetry.
Hozefa Apr 2019
Meri paidaish k waqt woh khushi aur fikr ke mix emotions mein kho raha tha....
Mujhe janam to meri maa de rahi thi, par usse dekh inhe bhi dard ** raha tha.

Jab main bol nahi pata,tabse meri khawahisho ko pura karne ka zimma uthaya tha...
Kandhe pe bitha kar duniya dikhayi aur ungli pakad ke papa ne chalna sikhaya tha.

Bhale khud,hindi medium mein aathwi kaksha tak ki thi padhai....
Par paise jama kar kar, seher ki best English school mein meri admission thi karwayi.

Office mein over time kar ke, mere future ki planning mein paise bachate the.....
Khud eid pe purane kapde pehente, par humare liye naye kapde silwate the.

Par tab zindagi mein, papa ka balidan aur pyaar kaha samjh mein aana tha.....
Papa ko thank u, i love u baad mein keh denge abhi to sirf paisa kamana tha.

Phir ek raat dosto k sang, madhoshi humpe chahi thi.....
Par waha fikr k maare papa ko neend kaha aayi thi.

Papa ka phone aaya to number dekh pehle phone kaat diya.....
Jab wapas call aaya to   "kyun pareshan kar rahe **" keh kar papa ko daat diya.

Phir agli subah phone aaya to socha, papa ko baar baar phone karne k liye naa kahe....
Par samne se awaz aayi "yeh jiska phn hai, unhe raste pe dil ka dora aaya, aur woh abb nahi rahe"

Aaj raat hai par sulane wala nahi....
Dost aur party hai par phn kar haal puchne wala nahi.

Aaj kehne to bahut kuch hai, par koi sunne wala nahi...
Abb bol sakta hoon, phir bhi khawahisho ko pura karne wala nahi.

Jab keh sakta tha tab maine kaha nahi....
Aaj paisa to bohot hai, par thank u, i love u kehne ko papa nahi.
CHARU KASHYAP Apr 2021
Haa ki galti maine
nahi samjha pyaar tera,
ek baar bol deta
to kya mai samajh nahi paati..,
** *** tujhse door
is dhang me,
rang *** puri tarah,
kisi or k rang me..,
haa ki galti maine
nahi samjha pyaar tera..
par tu bhi chala gaya
chala gaya chup chaap
ek baar pukaar k to dekhta
kya mai nahi aati tere sang me
ha ki galti maine
nahi samjha pyaar tera..,
par tu bhi nikal pada
nikal pada nayi duniya banane
hua mujhse yu door
ki laga kisi or ko manane
tu khush tha apni zindgi me
mai bhi gum thi apni zindgi me
par ab pta chala
daur to wo hi achha tha
jab mere hatho me tera haath tha
tere labon pe mera naam tha
CHARU KASHYAP..., kabhi kisi ne kaha hai
ki tumhari aankhe bohot khoobsurat hai...,
haa wahi.., wahi baat or wahi naam
aisa laga hi nahi kabhi
ki hai hum alag
bss waqt guzarta gaya
or duriyan badhti ***
kyu ki galti maine
jo nahi samjha pyaar tera...
Ain Sep 2020
Bada mushkil tha woh Lamha tere dar se nikal ne ka...
Ke ruqsat ** rahi thi main magar ek juz wahin par tha...

Thi aankhein aansuon se pur qadam aage hi na badhta...
Nazar mein kuch nahi tha Dil mera shiddat ke ranjh mein tha...

Kuch aisi kaifiyat mein chal padi Chalna muqaddar tha...
Kabhi lautungi main dar pe mere Zehn mein mere yehi chalta...

Yun hi chalti rahi, main *** kahan par Yeh na kuch socha...
Jo peeche dekha maine ghar bohot hi door tha choota...

Ke ab to raasta bhi ghar ka mere mujh ko naa dikhta...
Ke kaise jaungi main ghar ko mere mujh ko na tha pata...

Mere atraaf mein bas tha bayabaan aur veeraana...
Zamane bhar ki thokar ka Yeh pehla sa tajurbah tha...

Safar se thak chuki thi main aur mayoosi ka aalam tha
Par Tu ne chod na mujh ko diya Bebas besahara.....

Achanak dasht o sehra mein woh aaya ek masiha tha...
Badi hi door se dikhta mujhe us shaks ka saaya...

Usi ne rehnumaai ki sahi simt us ne dikhlaya...
Khushi se jhoom uthi main jo pata ghar jaane ka paaya...

Mujhe jaana kahan aur kis tarah Yeh ramz tha pehchaana...
Ke saathi ban rahe the "Ain" tere Na Tanha aalam tha...

Safar ab khushnuma tha har taraf manzar suhana tha..
Ke ab bhi chal rahi *** par safar ab na tha anjaana..
Harshada sanap Apr 2020
Ek khata karna chahti hu ,
Tumse tumhara kuch churana chahti hu,
Nahi!  Dil apna rakhlo , Mai bas tumhari
Bechainiya bantna chahti hu ..
Fasle bohot hai tumhari ungliyo me ,
Bas unhe mitana chahti hu ,
Aankho me Jo savaan  liye ghum rahe ** tum, unhe khubsurat rango me tabdil karna chahti hu ...
Bas ek khata karna chahti hu ,
Tumse tumhara kuch churana chahti hu ...
Mana ki thokare kahi khayi hai tumne aur darr bhi lagta hai aitbaar karne Mai ..par bas ek khata karna chahti hu ke tumse dard ki dhup chura Kar , marham ki chaav lapetna chahti hu..bas ek khata karna chahti hu ..ke tumse tumhara kuch churana chahti hu

-Harshada sanap
Sk Abdul Aziz Oct 2021
Tanhayi say rishtay purana hai hamara
Meray buray waqt may bhi yehi banti hai mera sahara
Kabhi mujhay dhokha nahi deti
Hamesha saath nibhati hai
Meray har dard ko samajhti hai
Din ki shuruwaat uus say hoti hai
Raatko uski aagosh may khudko saup deta hoon
Hamara ishq ab apni bulandi par hai
Bohot jald hamara nikah hoga
(Hindi and Urdu)

English Translation

My relationship with loneliness goes a long way back
It's my only support during my times of distress
It never betrays me
Always faithfully supports and maintains our relationship
It understands every bit of pain that I feel
My day begins with her
And at night I surrender and submit myself to her embrace
Our love is now at its peak
Very soon we'll get married
Bvaishnavi Jul 2023
Pata hai jab tum mile,
Pehli baar aisa aehsas hua,
Aise sunn ne waala hi toh chahiye tha,
Pehli baar sunne ka nahi baatien karne ka mann hua,
pehli baar aise gajab ke jawab dekne mile,
Aur tumne bhi toh kahan ki tumhe bolna bohot pasand hai,
Aur sunn na kam, par phir bhi mere baatien sunn na pasand karte the tum,
Abb Phir bhi tumse dil na lagau, yeh kahan se moomkin hotha,
Din bhar har cheez se aise juda diya tumhe,
Haan agar aaj baat hogi toh yeh poochungi usey,
Abb din bhar bas tumhari yaadien satate hai,
Woh saare cheej jinse tum jude **, raat bhar rulate hai,
Aur tum toh aise ghumshuda hogaye,
Jaise kabhi kuch hua hi nahi tha.
Kya tumhara koi kasoor bhi hai,
Yea yeh aehsaas sirf mere the,
Bohot dar tha ek tharfa pyaar se,
Abb toh hum usi mai barse.
Bvaishnavi Mar 2022
Yahan mujhe koi kaam nahi,
Subha na utne par koi daat bi nahi,
Phone dekh ne par koi rukaawat nahi,
Khana khane mein koi sharing nahi,
Par phir bhi ghar ki bohot yaad aati hai,
Kyuki yaha koi pyaar karne waala hi nahi,
Daat kar phir pyar se gale lagane wala hi nahi,
Hak jataane wala nahi, ladai karne waala nahi,
Ye toh mera ghar hi nahi......
Missing my home very badly...
Sanmeet K Sethi Jul 2020
Saal 2020 laya hume aise mod par,
Kitna bhi kosslein hum ise...
Achi baat yeh hai... isne rakha hume jod kar,
Mahamaari nahi! hai yeh humara Karma...
Kyuki jee rahe the hum... Saare kayde tod kar,
Haalat nahi hain bass mein...
Kyuki yeh saal laya hai humare saare paap nichood kar,

Jitne bhi zulm kiye humne prakartee pe...
Jalaya jungaloon ko... bandi kiya janwaro ko,
2020 lega badla bhejke aise bhanwaro ko,

Abhi bhi bohot waqt hai baaki...
Theher jao apni jhaga par,
Warna yeh Corona hai...
Chhodega hospital bhaga kar.

By Sanmeet K Sethi
Insta:- @sks__quotes
This poem is in Hindi language, So I hope there are some Indians on this website to read these.

— The End —