Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
kavya Mar 2018
ziddi tu bhi hai
ziddi mai bhi ***
na bolungi mai
na bolega tu
ye chuppi najane kb tootegi
ye narazgi na jane kb chootegi
ye gussa hamara ,
kb tk hame rakhega dur
bina baat kiye .
kaise maloom ** kiska hai kasoor

yaad aata hai vo waqt
jb hum sath the
saari  pereshani
jhelte sath the
saari khushiyan hum bantte the
ab baith poorani yaade chantte hai

kashh aisa **
ki hum fir sath hon
dosti ki hamari sb baaten kren
kahin aisa na ** ki
yaadon me ab raaten katen
Akash mazumdar Sep 2018
Aaj jab baat chaand sitaron ki hui hai,
Tumhari Kashish or meri jo kadi hai ,
Makhmali or Masoom sa ye maine apni taraf se rishta baandha hai,
Kya ye sahi hai ?

Aaj jo tumne Chand baaten bina kahe hi Kahi hai,
Bheegi hui inkaar me or pehele ke laparvah pyaar me ;
Ye Jo halki par gehri drar hai,
Kya ye sahi hai?

Matlab hum galat the or tumhe Galatia pasand thi !
ha aaisa hi hai,
Maana hum dube the itihaas me,
Par man or beaten to tumhare hi Naam ki thi or Sab kuch tumhara kar Dia kehne pe,
Fir bhi tumne Bina kuch kahe palla jhad Lia,
Kya ye sahi hai?

Kuch kehti kyun Nahi!
Survived Mar 2019
kaash ki yeh itna aasan hota
ki tumse baat krne se pehle
itna sochna na hota

thoda puch lete hum tumhre baare mai
thoda bata bhi dete hum aapne dil ke halaat
thoda haas lete tumhre sath mai
thoda roo bhi lete tumhri yaad mai

bata dete tumhe wo sarri baaten
dikha dete tumhe wo sare alfaaz
suna dete tumhe dharkane aapni
sunn bhi lete tumhri madhor awaz

thodi der k liye hi tumme wapas kho jate
es aandheri duniya se kahi dur chle jate
tumhre sath kuch aur pal bhi bita lete
khud toh thoda sa pyaar bhi kr lete

Par kaash ki yeh itna aasan hota
tumse baat krne se pehle
itna sochna na hota.
Grim Reaper Aug 2016
Khyal tera a jata he
bewaqt.
Kuch wo baaten,
kuch wo nazre(Eyes) a jati he
yaad.

Kis tarah hui thi
Shuruwaat.
Kuch wo raaste,
to kuch wo nazare(pleasure) a jate he
yaad.
Purva Barva Jun 2020
Kuch is kadar shor kar jati hai Khamoshiyan!
Bin kuch kahe, bahot kuch keh jaati hai ye Khamoshiyan,
Jo baaten kabhi lafzon se bhi bayan na ** sake,
Wo kabhi kabhi khamoshiyan keh jaati hai,
Kabhi bigdi baat bana jati hai,
To kabhi Bannti baat bigad bhi jati hai!
Bas Kuch is kadar shor kar jati hai yeh Khamaoshiyan!

— The End —