Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Mandeep kaur Dec 2020
Meri zindgi ka hissa nhi hai mera pyaar..

Whi hai mere jeevan ka adhaar.....
Jo dia mene tumhe.... Tum jtaate ** uska abhaar....
‎are meri jaan... Smjho na... Ye pyaar hai nahi hai koi vyapaar.....
‎tu hai jese.... Baadlo me behtaa chand....
‎bchpan me wo sath chalta suraj....
‎baarish ki wo pehli boond....
‎sukun itna ke teri awaaj sun.. lu me apni aankhe mund....
‎maanti hu hum alag hai or thodhe se alag hai vichaar....
‎par jo do oppsite ko ek krde.... Whi to hota hai na pyaar....
‎or pyaar hi hai mere jeevan ka adhaar....
‎kuch tum smjh jana kuch me smjh jaungi....
‎2 kadam tum bdhana me 10 kadam aage aa jaungi....
‎bina kisi mol bhaav ke tumse pyaar jtaungi....
‎par thodha sa tum mujhe smjhna....
‎meri ajaad soch ko bandhno se mat jkdhna....
‎yu jra jra c baat pe... Dunia ke bnaaye jhuthe riwaaj se.... yu logo ki kahi baato se....
‎tum is paak pyaar ko mere mat prkhna....
‎jab hogi chandni raat me tumhaari chandni me bhigungi....
‎par amaavas ki us raat me banke aaungi tumhaare dil ka kraar...
‎suno...
‎meri zindgi ka hissaa nahi hai pyaar....
‎ye to hai mere jeevan ka adhaar
Mandeep
Anonymous Jul 2018
Kal ki hi to baat h
Jab mai maa ka hath pakde
School ki or jata tha.

Ha kal ki hi to baat hai,
Jab mai baadlo par sawaar
Sapno ki dunia me
Dur kahi udd jaya krta tha.

Ha ye wahi daur tha,
Jab pariyo ki dunia ka apna wajood hua karta tha.

Syd sapno ko pakdne chah me
Ye sab kahi peeche chut gaya
Ha mai bachpan ki mayanagri se nikal
Is bheed me aa gya.

— The End —