Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Azhar Sabri Dec 2014
Jo Kho diya usey, paane ki Arzoo to nahi?
Jiski talash hai wo, kahin Roobaroo to nahi?
aster gayavi urdu shayari
Hum  to  yun  aam   hai,  pur naaz    hotey
Warna  ap   par   bhi   asar   andaz   hotey

Tere  saaz  se  kaha  mili   hai  meri  awaaz
Phir   tere   asraar    ke    humraaz   hotey

Dikhatey hum manatey  hai  yaaru ko kaise
Kabhi  aa.kar wo hum se  to naraaz  hotey

Is Ishq me daikhey  hain  jo  Qatal gah  bhi
Kaash  us   inteha  ke  hum  aghaaz   hotey

Is  bey-jaan shayiri se wo ro padi  Sharafat
Shayir na hotey, kam az kam jaanbaz hotey
A free verse Urdu poem.
Jindagi Dard me hai,
ya Dard e jindagi hai...
Mein thehra musafir e arzoo e talaah...
Kabhi bhi shaam e subhah dhal jata hu,
Bin piye bhi ...pita rehta hu
jaam e dhadkan
Badal e pagal
Mein ek musafir ...
Mein ek musafir
...

— The End —