Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ashna Alee Khan Sep 2016
Kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay kitnay waday torhay hein?
kabhe pucha hay apnay app say kay kitnay logouin ka dill tora hay?
kabhe pucha hay apnay app say kay tumnay apne eik nazar say kis kis ko apne he
nazrouin mein gerayya hay?
- nae pucha nah? kese din pucho gay nah tou mrnay ka dill chahy ga, zindage kay
naam say chirnay lago gay.
Kabhe pucha hay kay tum Zindage kay naam per eik beyqaar zindage jee rahay
hou? aur phir kehthy hou ''yaar kya krien zindage he esse hay''. Kabhe Zindagi
ke kitaab ko khol kr tou dekho kya kya rakha hay uiss mein. Zindage bahot he
haseen hay sirf hum masroof hein apne duniya mein wou duniya jis mein kuch
nahe sawaye humaray. Ajj loug dusrouin ke mintein krtay hein kay ''ruk jau''
''na jau'' jb kay mery khayaal mein ye loug bhul chukay hein kay '' jis ko jana hay
uis ko jana hay chahy tum apne jaan kyun na deh dou''. Ajj tou logouin ke
zindage andhere hojaate heh jab koe uinka ''dost'' ya ''yaar'' chor jaye aur wo uis
khuda ko bhool jaatay hein jis nay uis ko usse ''dost'' ya ''yaar'' say milaya tha.
Hum loug tou apnay Khuda ko bhe bhul chukay hein. Wo Khuda jis kay pass
humnay waapis jana hay wo Khuda jis kay bagheir humare koe ukaat nae.
Barhay Unchay gharouin mein reh reh kr apnay app ko Khudha samjhna shuru krdeya hay humnay.
Ess zamaanay mein koe kese ka Dost nae hota barha Dost Dost krtay hou na jab doob rahay hou gay
kudhe dekhna kay sab DOST tamasha dekh rahay hogein aur tum zindage ke tarf aanay ke bher-poor
koshishein kr rahay hou gay, tab apnay app say puchna kay ye wo DOST thay jin kay leye tum apnay
maa-baap say laray? uin kay samnay uncha bolay? sharmindage hoi? Ajj hum itnay ''self-obssessd''
hein kay dusrouin ko dekh kay lagta hay chunte jitni ukaat hay uiss ke. Hum apne he Duniya mein
bahot dur nikal aayein hein, asal duniya say bekhabar, asal dostouin say hum la-taluq ** chukay hein.
Hum ajj apnay app mein he kho chukay hein. Apnay rab ko humnay kho deya. Rab ko kho deya matlab
Sub kuch kho deya  ! tou abb hamaray pass koe raasta hay?
-Haan wou rab 5 martaba bulaata hay tumhein apne taraf, jau uiss ke taraf aur apne ASAL ZINDAGE
ke taraf waapse aou.
Hira malik Nov 2018
Ehsaas kay dareechay main
Baynaam sa aik shahar basta hai
Har roz wahan log uth-tay hain
Qaroobar kay hangaamon main
Koe mun dho kar nikalta hai
Koe bay- awaz surr pay sarr dhunta hai
har roz wahan aik kahani hai
Jo tmhain mjhay sunani hai
Har saa-at wahan aik tamasha hai
Jo rukta aur shaur machata hai
Raat ki taareeki main
Jab sab thak kar laut aatay hain
Apnay **** ki thakawat ko
Wo  khawaboon kay ka-andhay utartay hain
Aur yunhi so jatay hain.....
Ehsaas kay dareechay main
Jo aik bay- naam sa shahar basta hai
Uss basti ki sab hastion main
Chupa bacha din bhar hansta hai
Aur shab dhalay, sarhanay  mun day kar rota rahta hai.....
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Mainay kal apnay aapko dekha tha apni ammi ankhon may
Yeh aina mujhay boorha nahi batata
(The above language is a mixture of Urdu and Hindi.)

English Translation

I saw myself in my mother's eyes yesterday
And those mirrors don't say that i'm old
For a mother,her child will always be like a child...no matter how old they get.
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Ey meri mehbooba
Teray baray may sochkar apnay baray may sochna jurm hai
Tujhay yaad rakhna mera ek jurm tha
Tujhay bhool jana mera doosra jurm tha
(Urdu & Hindi)

English Translation
O, my lover
To think about myself after thinking about you is a crime
To have remembered you was a crime
To have forgotten you was my second crime
Inspired from a song i had once heard.
Sk Abdul Aziz Dec 2015
Teray bin may jee nahi pa raha hoon
Teri yaad mujhay murnay bhi nahi deti
Jau to kaha jau?
Kisko apnay dil ka haal batau?
(Urdu & Hindi)

English Translation

I'm not being able to live without you
Your memories don't let me die either
Where do i go?
To whom do i describe my heart's condition?
دل میں بس تجھ کو بسا رکھا ہے
لب پے بس تجھ کو سجا رکھا ہے
دیکھ  آ دل کے میکدے میں کبھی
درد ہی درد چھپا رکھا ہے
مجھ کو ویرانیاں ہی بھاتی ہیں
دشت میں ڈیرہ لگا رکھا ہے
بے ثباتی سے واسطہ ہے مرا
ریت کا گھر بھی بنا رکھا ہے
عشق کے رستہ پر خار پے بھی
بوجھ تیرا ہی اٹھا رکھا ہے
آج خود اپنے لہو سے ارسل
بزم میں دیپ جلا رکھا ہے

Ghazal
Dil main bas tujh ko basa Rakha ha
Lab pe bas tujh ko saja Rakha ha
Dekh aa Dil Ke maikaday main Kabhi
Dard hi dard chupa Rakha ha
Mujh ko veeraniyan hi bhaati Hain
Dasht main dera Laga Rakha ha
Bay sabati se waasta ha Mera
Rait ka Ghar BHI bana Rakha ha
Ishq ke Rasta e pur khaar pe BHI
Bojh tera hi utha rakha ha
Aaj khud apnay lahoo se ARSAL
Bazm main deep jala Rakha ha
Hira malik Nov 2018
Main jiss shahar ka aadi hon
Uss shahar kay baasi ajnabi nigahon say dekhtay hain mjhay
In chahron pay charhay rung
Mjhay rung nhn bay rung lagtay hain
Iss shahar kay darr-o-dewaron say abhi mera rishta nhn bana
Aur raastay yahan kay mujh say khauf khatay hain!

Maij jiss shahar ka aadi hon,
Uss kay baasi apnay hi rung main holi khailay jatay hain
Aur main safaid aur siah kay darmian hi uljha baitja hon.
Sooraj nikalta hai zaroor, laikan sitaray raat kay mjhay daratay hain,
Aur yay onchi onchi amaraat, kiss dayo ki maanind lagti hain mjhay!

Main phir bhe iss shahar ka aadi hon
Main phir bhe iss shahar ka aadi hon!!
Hira malik Mar 2018
Subah-e-tamaam kay sozo gar
Khoon main nahay apnay lakht-e- jiggar
Aay soz-e-lab-e- baam, kia naghma gungunao gay,
Har roz ik nae tamanna jagao gay?
Unn hasrat bharay dilon main kia kia saaz bajao gay?
Aay saq-e- dil, yun hasraton main jeena bhe kia jeena
Jiss dil main naan koe hasrat , naan koe tamanna!!!
( its urdu language, that is a mother language in Pakistan)
Ghazal
Thi ye ghalti meri mashwara kar lia
Dil lagi main ye kia fasla kar lia
Sary apnay beganay hain dushmin howay
Piar tuj say jo ab barmala kar lia
Hum hi kam zarf thay hum hi zalim barray
Khud kokiszuhm main hay juda kardia
Hardua ko jo ab baddua kar dia
Dushmini khun main lakachaltay rahey
Kuhd ko hum nay hi khud par gowa kar dia
Nafraton ki gowai kahan tak chaly
Dil giajan *** ab to ruh bi ***
Ishq main hum nay yaro ye kia kardia
Col Muhammad Khalid Khan
Copyright 2018 Hath Main Hath

— The End —