Hello Poetry
Submit your work and get some sparkles! Create free account
"ankhein" poems
Jo wahan hai wo yahan hai Jo yahan hai wo wahan hai Par-e-dil gumshuda Na Jane kahan hai Ek chota sa to ye jahan hai Hum to isse bhi bant chale Dil to ek chota sa makam hai A us ***** ko bhi sath le chalein Jispe uska kudha mehrban hai Ye to ek aeine ki zaban hai Jane teri ankhein kahan hai apne ko hi kyu karta hai khafa Tujse zada insan to asman hai Koi lakeer zisko na bant sake Usse bant diya tune jahan hai ab to diwaron me hi tu fanaa hai agar ek dusre ke liye hi marna hai to pyar me marne me kya gunha hai ? rok na sake koi usse jisko khaboien ki panaa hai Jo pyar me bana hai lakeeron ke uss par bhi to ek sapna hai udhar bhi to koi shayad apna hai agar ek dusre ke liye hi marna hai to pyar me marne me kya gunha hai ? ye jo rasta tumne chuna hai akele pad jaoge tum beete kal ye jo hai tumhari addat ki ab to ibadat bhi gunha hai kya tumne kabhi dheere se suna hai wo ek muskaan ki shararat jiska arth bhi tumko mana hai dekh le us fakeer ki nazakat jo tere mere khoon ki milawat us lakeer ki ahat pe kurban hai agar ek dusre ke liye hi marna hai to pyar me marne me kya gunha hai ?
0
Oct 5, 2016
Oct 5, 2016 at 6:32 AM UTC
Kya gunha hai ? (Hindi)
Aa ab laut chalein apne ghar Aa ab laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha teri shetaniyon ka manzar tha Jaha pyar ka samndar tha Jaha thak kar sona ata tha Jaha har kona muskurata tha Jaha beeta har din yadgaar tha Jaha ka har pal suhana khwab tha Aa laut chalein apne ghar ab bht taay kar liya yeh safar jaha khul kar tu bhi hansti thi jaha muskura mein bhi leta tha jaha teri badmashiyo mein bacha me bhi bann leta tha jaha naachti tu thi aur jhumta me tha jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha jaha na kabhi dur hone ka dar na adhuri koi aas thi jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi jaha rote rote hans dete the hum na koi fikar ki bat thi jaha ghanton batein karte the hum ghadi ki sui na humare sath thi Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar Jaha tera kam se ana tha Phr mujhko gale lagana tha Jaha teri bematlab ki baton me Mera kahn gum hojana tha jaha har sapna jee rahe the hum jaha nahi thi kisi ki koi sharam jaha dikhawa koso tak na tha har jagah tha bass pagal pan Aa laut chalein apne ghar Bht lamba hogaya yeh safar jaha jhagde bhi suljhe se the jaha ansun bhi uljhe se the jaha hothon pe muskan bhi thi jaha ankhein kuch naadan bhi thi jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi jaha lori ki chankar bhi thi jaha ghungru si tumari payal bhi thi jaha kangan ki awaz bhi thi jaha hansta hua tera chehra bhi tha jaha ghurti meri ankhein bhi thi jaha band woh darwaze bhi the jaha do **** ek jaan bhi the Aa laut chalein na apne ghar waqai bht lamba ** gaya yeh safar.... waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!! ..
0
Oct 29, 2020
Oct 29, 2020 at 10:05 AM UTC
Aa ab Laut chalein apne ghar...!!

Continue reading...
52
**** Damakta, Zulf Ghaneri* Rangin Lab, Ankhein Jadu Body aflame and curling of locks so thick Colourful lips and eyes so charming Sang-e-Marmar, Uda Badal Surḳh Shafaq, Hairan Aahu Ivory stone altering so royal-mauve Evening twilight so red and dazzled gazelles Raatein Mahki, Sansein Dahki Nazrein Bahki, Rut Lahki Fragrant nights and sighs kindling Glances intoxicating, season so blooming Prem Khilauna, Sapn Salona Phul Bichhauna, Vo Pahlu Game of love, stunning dreams Flowers spreading, O’ that view Tum Se Duri, Ye Majburi Zaḳhm-e-Kari, Bedari Away from you, so helpless Penetrating wound and no vigilance Tanha Raatein, Sapne Katein Khud Se Batien, Meri Khu Lonely nights and biting dreams Talking to self, my habit so new ✒ Translated by ℐamil Hussain , Sung by Nusrat Fateh Ali Khan
0
Nov 6, 2017
Nov 6, 2017 at 12:10 PM UTC
B O D Y Aflame
Kabhi phir se, aajao "bas mere banke." Sare taar cher jaao, "soone man ke". Paas betho, kuch to batao. Usi ada se, muskurao. Jo tum rutho, hum mana le. Tere nakhre, bhi utha le. Vo akad me, kya ada thi. Teri narazgi b, maza thi. Ji bhar k, dekhlu Aja phir se, ban than ke. Kabhi phir se, aajao "bas mere banke." Sare taar cher jaao, "soone man ke". Tu bhi mna le, kabhi jo roothe. Chore de tere, tewar ye jhoothe. Koi dekhe tuje, mera jalna. Uff ye bekhauf,tera chalna. Bin ruke tere bole jana. Mile jo ankhein, palkein jhukana. Kitni batein, hai adhuri.. Nyi yadein, hai zaroori. Chadhi collar, teri gira de. Fold sleeves,unfold kara de. Gala laga ke, band kardu. Teri shirt k jo, khule button the. Kabhi phir se, aajao "bas mere banke." Sare taar cher jaao, "soone man ke". # BJ writes # bj diaries # incomplete
0
Sep 17, 2020
Sep 17, 2020 at 10:21 PM UTC
Kabhi phir se aanaa
Jis din ankhein na khule, Andhere main lage sab theek, Bandh ankhon pe peeche, Hay jaise koi tamasha Jeboon ki woh khan khanahat, Jab jaye taqdeer se rooth, Fir bharri mehfil bhi lage, Hai jaise koi tamasha Samajh ke aage jaakar, Chadh jao manziloon pe, Bin darbaari ke darbaar me bhi Bas dikhe koi tamasha
0
Jun 15, 2019
Jun 15, 2019 at 1:34 PM UTC
Tamasha.