saansein kehti naam na lena
aankhen mandraati ki kahin dikh na jaaye
parchhaai uski ehsaas ko saath lekar chalti
uske umarte kahin rooh ki ye aandhi, tham na jaaye
kaise jeena, sikhaayega kaun
bina kisi ke, jataayega kaun
sikhaane waale bura thehra kar nikal padte apni raahon par
wahin jinko rehna tha saath, har kadam chalna tha aas paas
aaj hain kooso door, shayad… kisi aur ke saath?
bewaqt phansi hui dor suljhaaye sulajhti nahi
agar toot gayi maano, toh baandhne waala aakhir hai hi kaun
Feb 1
Feb 1, 2026 at 1:56 PM UTC