Muhabbat chaiay, lazim hai kay
Saans aay aur jay
Jahan muhabbat chalay, hawa ki manind
Kay buhat tapash hai
Aur dil ki zameen mun kholay haanp rahi hai
Aur nazar kaheen poshida hai
Dil aur bahar
Har taraf
Ikk hi hawa hai
Loo ki manind
Larazti, sansanati ***
Jaisay haddion ko murjha day
Aur thara day saans ki simt ko!!
Kaheen bhe nhn, kuch bhe nhn
Jahan jaon, jahan tharon
Wahan kuch bhe nhn, kabhi bhe nhn.
Ehsaas kahan hai? Yay dil tou ab ikk pinjra hai
Jahan ka makeen bolay tou maut, saans bhe maut, harkat bhe kafan, lafz bhe khatam!
Kuch hai, in dinon, kay shaam ka ilhaam
Meray dil kay darwazon pay
Khafeef ahat say bhe
Maut paida karta hai
Aur iska paida hona
Meray wajood main
Ikk Ah ban kar raqs karta hai.
Kuch hai
Kuch tou hai
Iss shaam main , aaj kal!
Rung-o- boo ki nami, uss ehsaas ka sarood
Kaheen ab samandar paar sakoot ki chadar orhay baitha hai
Aur idhar mera wajood
Bass akhri saans ikk umeed ki aas pay laita thahar sa gya hai...