Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Aarushi Vijay Jun 2016
Tera meri iss ujadi zindagi main aana,
Kaash koi shabd bayaan kar paate.

Par kya Karen zindagi ka hai yeh dastoor..
Ki hum jisko sabse zyada chahte ,
Ussiko nahi bata paate.
Ain Sep 2020
Saraab....

Tu ek khayaal se zyada kuch aur tha bhi nahi...
Bas ek khwaab se zyada tu kuch hua bhi nahi...
Woh ek zakhm jo dil ko kabhi mila hi nahi...
Tu hai woh dard jo mehsus ** saka hi nahi...

Woh lafz the mehez alfaaz sach hue hi nahi....
Na haq vo baaton ke parde kabhi khule hi nahi...
Humare ijz ka un par asar hua hi nahi...
Ki inkisari mein hum ne bhi kuch kaha hi nahi....

Teri ranjish kabhi dil ko hui ata hi nahi...
Mera daaman teri khalish se bhar saka hi nahi...
Woh faasla kabhi jo paar kar sake hi nahi...
Woh raasta ke jin pe paon chal sake hi nahi...

Tu ek yaad hai jise yaad rakh sake hi nahi...
Tu ek saraab hai jise haath dhar sake hi nahi...
Aazmana kisi ko kab yeh achchi aadat hai...
Aazmaish se hum kabhi juda hue hi nahi...

Ke intekhaab jo tera maine kiya tha kabhi...
Munasebat ke daayre se vo juda hi nahi...
Woh ek sada jo kabhi pesh kar saka hi nahi...
Vo ilteja kabhi bhi tu jo sun saka hi nahi...

Meri aankhon ko deed tera ** saka hi nahi...
Teri khushboo se **** mera tar hua hi nahi...
Woh jo qurbat sa kuch mehsus ** raha tha mujhe...
Wasl ka lutf woh mujhe kabhi mila hi nahi...

Kyun jo tu khud parast nahi to dekhta hi nahi...
Kyun nigaah tu meri taraf phira saka hi nahi...
Woh jo sehra tumhe yun sabz nazar aata raha...
Saraab tha kabhi waha yahan hua hi nahi...

Kaha tha us ne ke mujh ko bas ek nida dena...
Ae dil tu maan le tha tu ne yeh suna hi nahi...
Teri nigaah mein umeed ek basi thi jo “Ain”...
Nazar ka dhoka tha ke kuch kabhi basa hi nahi....
Harshit Jain Apr 2017
Aa rahe wo din purane
Kya tumhe kuch bhi khabar hai
Aa rahi shaame suhani
Kya tumhe kuch bhi khabar hai
Aa rahi raatein wahi jab
Milte the chupke se chat pe
milke tera muskurana
Chaand se raushan samaan mai
Teri aankhon ki chamak thi
Aa rahe....

Aankh mai aasun ke moti
Chehre par khilti hansi thi
gum tha jaane ka mere fir
Chaunkhaton pe kyun ruki thi
Rok leti tab mujhe tu
Bus meri wahin khadi thi
Aa rahe....

Ab jo tujhse mai juda ***
Khud se hi mai kyun khafa ***
Mil toh lete hai rojana
aasmaan me jo basa ***
Dekh upar taare ko us
Sabse zyada jo chamakta
Pyar hai usme wo mera
Tujhse mai jo ab bhi karta
Aa rahe....

Fir milenge bol kar mai
Nikla tha ghar se akele
dekh wada toh nibhaya
Tirange mai khud ko lapete
Rona mat tu dekh mujhe yun
Haste mai mara ***
Yaad teri  sang mai leke
Chaand ki seedhi chadha ***
Aa rahe....
Anonymous Apr 2019
Dil me liye armaan hazaro,
har ek insaan daudta hai..
Sapne pure karne ko apne,
kai baar woh rota hai..
Tanhai ke aasuo ki keemat nahi hoti,
aankhen nam kar akele, fizool hi roya main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me jeet kar bhi hara main..

Mushkil hoti hai dagar, agar khud ke liye jeete **,
dusro ke liye jeena aur bhi mushkil hota hai..
Iss raah me kabhi kisi ka saath mile,
woh saath nibhana aasaan nai hota hai..
Meri koshisho me shayad reh gayi kami koi,
jo aaj tak nahi nibha saka isss rishte ko main..
Pata nahi kaise,
par iss daud me bhi hara main..

Khud ki takleefo me shayad gum gaya zyada zara,
jo dikha nahi mujhe mushkile hoti toh sabhi ko hain..
Chizo ko suljhane chala tha,
uss raah me khud hi ulajh gaya main..
Naa mushkile kam hui aur naa takleefe door,
bas dil dukhaya sabke main..
Zindagi shayad daud nahi, par main phir bhi isme hara hu,
kisi aur ka kya kasoor, bas zindagi se hara mai..
Ineffable Jul 2019
DIL
Dil chahta hai ki tumse he Baath kare,
Par mann bhi kare jo mann chahta hai.
Yeh duuri hai bahut zyada,
Par mera Dil hai aur Ziddi.
Tumhara saath nahi chodne ka zid
Translation:-
My heart wants to talk to you,
But my mind stops me from doing so, as it has a mind of its own.
This distance is long enough,
But my heart is also adamant
Adamant to never leave your side
AR Feb 2020
Ishq ka ehsaas tab hua,
Jab apne dil ke tootne
Se zyada,
Tumhare dil ki fikr hui!
AADI Dec 2019
teri nazar.... zyada kuch nhi bas bhott kuch keh jaati thi
#love

— The End —