Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Preeti Pal Jan 2022
Zaroori nhi ki do pyaar karne wale log humesha saath rahe,
Dur rehke bhi pyaar nibhaya ja sakta hai, agar PYAAR saccha ** toh...!!!!😇
BJ Sep 2020
Kabhi phir se, aajao
  "bas mere banke."
Sare taar cher jaao,
"soone man ke".
Paas betho, kuch to batao.
Usi ada se, muskurao.
Jo tum rutho, hum mana le.
Tere nakhre, bhi utha le.
Vo akad me, kya ada thi.
Teri narazgi b, maza thi.
Ji bhar k, dekhlu
Aja phir se, ban than ke.
Kabhi phir se, aajao
  "bas mere banke."
Sare taar cher jaao,
"soone man ke".
Tu bhi mna le, kabhi jo roothe.
Chore de tere, tewar ye jhoothe.
Koi dekhe tuje, mera jalna.
Uff ye bekhauf,tera chalna.
Bin ruke tere bole jana.
Mile jo ankhein, palkein jhukana.
Kitni batein, hai adhuri..
Nyi yadein, hai zaroori.
Chadhi collar, teri gira de.
Fold sleeves,unfold kara de.
Gala laga ke, band kardu.
Teri shirt k jo, khule button the.

Kabhi phir se, aajao
  "bas mere banke."
Sare taar cher jaao,
"soone man ke".
# BJ writes
# bj diaries
# incomplete
Mayank Garg Jun 2020
Zindagi mein toofaan aanaa bhi zaroori hai

Kyunki tabhi hume pata chalta hai ki

Kaun humara haath thaamkar bhaagega

Aur kaun haath chhudwakar bhaagega

— The End —