"zarb" poems
Ishq naam hai Tabahi ka Phir bhi chuna
hai kaam Ruswai ka phir bhi chuna
ishq main dard Hijar o firaq hai
ye kam nai Harjai ka phir bhi chuna
Aawazain kasti hai dunya Tahne deti hai
nai harf Bhalai ka phir chuna
bhala aisi bhi kia Majboori thi ANAYAT
Jante hain hai safar Tanhai ka phi bhi Chuna
Jul 3, 2015
Jul 3, 2015 at 10:11 PM UTC
Shikwa to bas ek bahana tha...
Tujhe mera dil hi jalana tha...
Kashish ranjish yun banti gayi...
Kehne ko to ek fasana tha. ...
Pal Pal tujh par hi lutana tha
Meri zeest se yeh hi karana tha
Meri rooh par chaya hua tha jo
Saanson ka wohi tarana tha
Teri chaah ko apna banana tha
Meri koshish ka woh nishana tha
Teri zid ka zarb magar mujh par
Jo pada to bas qatilana tha...
Nibha lo rasm e kafan ki ab
Anjaam e wafa yun sikhana tha....
Bejaan sa **** yun pada hai ab.....
Ke "Ain" e arz hi ab thikana tha....
Sep 9, 2020
Sep 9, 2020 at 7:00 AM UTC