Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
AO Baghi Dec 2017
Or nahi koi bus hum he do
kahani khatam shuru hui tw
mujhy dekho, batien karo kam
Main or tum, kehti thi woh
aankhon mein tum kho jao jo
nazar aye kuch, jo tm dekho
pehli mulaqat , tum dilchasp **
ankhon mein doob kar, kehti thi woh
main nahi dilchasp, bs  mukhtlif ***
mein jo bhe kahun bs chup chap sunti woh
hont khamosh, ankhon se ki sab baatien thi
raat wo ik jis se juri sab he yaadien thi
lagta hai ab tum se he karni faryadien thi
afsoos k tab kar na ska jo karni wazahtein thi
Khair teri meri thori c bhe ban na saki
kyunk waqt kam tha or bigri teri adatien thi
Main na bhool paoun teri jhooti hansee
naa he chor paoun mehsoos ** kami
ankhon me nami dil mein pyar bhe nahi
yadon mein jalan or aitbar bhe nahi
tum ik waqt ** jo beet geayaa
mera hasil nahi par bht kuch seekh gea
mere qabil nahi or mein khud ko jeet gea
meri manzil nahi ** tw q me kheencha gea
phir kyun kehti, mein or tum
shuru hote he kahani khatam
This is the convo between him & her.
Bvaishnavi Jul 2023
Pata hai jab tum mile,
Pehli baar aisa aehsas hua,
Aise sunn ne waala hi toh chahiye tha,
Pehli baar sunne ka nahi baatien karne ka mann hua,
pehli baar aise gajab ke jawab dekne mile,
Aur tumne bhi toh kahan ki tumhe bolna bohot pasand hai,
Aur sunn na kam, par phir bhi mere baatien sunn na pasand karte the tum,
Abb Phir bhi tumse dil na lagau, yeh kahan se moomkin hotha,
Din bhar har cheez se aise juda diya tumhe,
Haan agar aaj baat hogi toh yeh poochungi usey,
Abb din bhar bas tumhari yaadien satate hai,
Woh saare cheej jinse tum jude **, raat bhar rulate hai,
Aur tum toh aise ghumshuda hogaye,
Jaise kabhi kuch hua hi nahi tha.
Kya tumhara koi kasoor bhi hai,
Yea yeh aehsaas sirf mere the,
Bohot dar tha ek tharfa pyaar se,
Abb toh hum usi mai barse.

— The End —