Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Ankit Dubey Mar 2020
Zikr jab zindagi ka hota hai toh hum aksar apni zindagi ke guzre waqt ke flashbacks mein chale jaate hai, aur kehte hai zindagi toh bohot buri guzar rahi hai.. yeh maana ki jo beet gaya hai usse bhulaya toh jaa sakta hai magar apne zehan se mitaya nahi jaa sakta.. bas unn tamaam ache-bure daur ko muqaddar samjhkar aage badha jaa sakta hai. Aur life mein ek phase aata jab humein lagta hai ab aur kya dekhne ko baaqi reh gaya hai zindagi mein saare tajurbe aur sabaq mil chuke hai ab toot jaane mein hi bhalayi hai haar jaana hi ek aakhri sahi rasta hai. Aur phir apni khushiyon ka shok aur barbaadiyon ka jashn manane lag jaate hai. Magar khushiyan bhi itni aasani haar nahi maanti. Zindagi humein har ache-bure daur ke baad ek khoobsurat tohfa deti hai jisse hum mauka kehte hai. Humein zindagi se mile wo saare tajurbe aur sabaq phir se jeene ka hausla dete hai. Ek nayi umeed dete hai. Aur shayad isliye hum zindagi ka saath nahi chhorte.
Beete kal mein pareshan rehte hai, aane kal ki fizool mein fikar rehti hai aur jo aaj hai usse jeete toh hai magar thodi bechaini ke saath. Jo guzar gaya usse accept karke aage badh jao, jo kal hoga wo tumhare aaj ki mehnat se pata chalega na ki fikar se, aur apne aaj se mohabbat karo.
Ek badi ajeeb si cheez hai jo hum sabhi ke saath hoti hai jab hum 5-6 saal purani tasveer mein khudko dekhte hai toh hasi aajati hai ki kaise the hum ab waqai behtar badlaav aaya hai hum mein wo badlaav tum laaye ** khud ke andar. Waqt ke saath mature hokar, mushkil se mushkil maqaam haasil karke, apna vision aur mindset positive rakhkar, apni zindagi ko sahi raaste mein le jaakar. Isliye tum haare nahi **, zindagi mauke deti hai magar tumhe ehsaas tak nahi hone degi kab tumne uss mauke ka fayda utha liya. Aur agar kabhi bura phase aaye toh uss mein bekhauf hokar jeena magar sahi waqt par nikalkar apni zindagi ko behtar bana dena. Kyunki abhi tumhara qissa khatam nahi huwa, abhi tumhe nikhar ke wapas aana hai kahani badalne.. .
Sakshi goyal Oct 2020
Aa ab laut chalein apne ghar
Aa ab laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

Jaha teri shetaniyon ka manzar tha
Jaha pyar ka samndar tha
Jaha thak kar sona ata tha
Jaha har kona muskurata tha
Jaha beeta har din yadgaar tha
Jaha ka har pal suhana khwab tha

Aa laut chalein apne ghar
ab bht taay kar liya yeh safar

jaha khul kar tu bhi hansti thi
jaha muskura mein bhi leta tha
jaha teri badmashiyo mein
bacha me bhi bann leta tha
jaha naachti tu thi aur jhumta me tha
jaha bachon si ladhai aur dil ka mehal tha
jaha na kabhi dur hone ka dar
na adhuri koi aas thi
jaha sath beshumar tha aur poori har saans thi
jaha rote rote hans dete the hum
na koi fikar ki bat thi
jaha ghanton batein karte the hum
ghadi ki sui na humare sath thi

Aa laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

Jaha tera kam se ana tha
Phr mujhko gale lagana tha
Jaha teri bematlab ki baton me
Mera kahn gum hojana tha
jaha har sapna jee rahe the hum
jaha nahi thi kisi ki koi sharam
jaha dikhawa koso tak na tha
har jagah tha bass pagal pan

Aa laut chalein apne ghar
Bht lamba hogaya yeh safar

jaha jhagde bhi suljhe se the
jaha ansun bhi uljhe se the
jaha hothon pe muskan bhi thi
jaha ankhein kuch naadan bhi thi
jaha nanhe kadmon ki awaz bhi thi
jaha lori ki chankar bhi thi
jaha ghungru si tumari payal bhi thi
jaha kangan ki awaz bhi thi
jaha hansta hua tera chehra bhi tha
jaha ghurti meri ankhein bhi thi
jaha band woh darwaze bhi the
jaha do **** ek jaan bhi the


Aa laut chalein na apne ghar
waqai bht lamba ** gaya yeh safar....
waqai bht lamba hogaya yeh safar..!!!


..

— The End —