Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Anshika Oct 2020
Yaha rishton ke jaal mee aapko fasaya jata hai... Aur jab aap uss rishte ke bandhan mee bandh gye aap toh aapko apne matalb ke liye uksaya jata hai....
Jab matlab bakhubi nikal jaye toh aapko wapes see bewakoof banaya jata hai... Aur yee silsila hai jaari iss duniyaan kaa waah re duniyaan tu bhi na jane kitne rang ek girgit kee tarah dekhata jata hai....

Na puchoo haal uss saksh kaa jo apne sakshiyat bhula kee dusre kee kaam aata hai... aur anntt mee usee saksh ko ek pagal kaha jata hai... Waah ree duniyaan tu bhi na janeee kitnee logic lgataa hai.
Anshika Oct 2020
Sunn jara apne aap ki..
Kya kehta hai mann tujhe uss baat kii..
Suun jara apne aap ki..
Duniyaan toh sunati hee hai aur sunati hee rahegi.. Tu sabki sunn pr pehle sunn apne aap ki..
Jo tera mann hai wo tujhe bahut jagah le jayega kabhi yha toh kabhi waha na jane kaha -kaha bhatkayega....
Aur tu bhatak bhi jayegaa.. Par jo tu raaste par bhatak ke wapes apne manzil tak naa aaya toh tu hara hua kehlayega...
Aur chote -chote kadam aur baaton se tu isse tarah larkharayega par aakhir me chalna tujhe khud hee aajayega...

Issliye sunn mat kise kee baat kii.. Pehle sunn jara apne aap ki.
Anshika Oct 2020
Jindagi toh chal rahi hai aur chalti rahegi jab tkk wo chahe chalata rahega... Kitno ko bulaya hai usne aur Jab takk wo chahe bulata rahega...

Na samajh iss khell kaa tu badshah hai... Ek din iss khell see wapes jane kaa tera bhi bulava ayega...

Lagale jitnaa lagana hai dil aur dimag iss khell mee anntt mee sab kuch tere saath hee jana hai....

Ek dinn iss khell see bulavaa tera bhi aana hai... Lagale, jitnaa dil aur dimag lagana hai.

— The End —