Submit your work, meet writers and drop the ads. Become a member
Zaina khalid Jun 2019
Kabhe toh voh din bhe aiga
Jab sab kuch guzar jaiga
Jab hum na akhae khole ge
Na toh kuch bolege
Voh din jald he aiga

Us din ka intezaar kabse hai
Zindagi mai kuch naya paane ka intezaar kabse hai

Voh din jab aiga
Har koi saath ** jaiga
Roh kar shayad ek he baath bataiga
Ke voh mere kitne paas the
Ke voh mere kitne khaas the
Shayad sabke  akho mai aasu honge
Shayad sabke yaado me mai
Shayad koi roh raha hoga
Zindagi mai kuch kho raha hoga

Har ek jo merai paas the
Aaj voh ek ahsaas hai
Jo bhe merai khaas the
Voh dil mai merai paas hai

Jab tum roh rahe hoge
Dukh mai kho rahe hoge
Toh tumko dekh kar mai muskuraoge
Dil mai chupe gam ko chupaoge
Aur ek he baath kah kar jaoge

YEH WAQT BHE JALD HE GUZAR JAIGA
This is my first poem
Ted Rufflepuff Mar 2015
Darr lagta hai, ki Kahi Tumhe kho na de hum,
Shabdo Mein byaan Nahi kara ja sakta Yeh pyaar,
Aasuyo Mein behaya hua dukh,
Hasi Mein chupaya hua dard,
Zubaan par aane se darta hai, ki kahi tumhe kho na de hum.

Anjaani raaton mein jab mile tum, Toh Aisa laga,
Sansaar mil gaya, par yeh dil hai ki maanta Nahi,
Nikamma banakar dukh deta raha,
Kyunki darr hai tumhe kho na de hum.

Iss aakaash ke soonepan se tanha hai Yeh Dil,
Ki kabhi tumse duuriya na badh jaaye,
Jag ne cheena mujhse, Mujhe ** bhi laga pyaara,
Hoontho se chuloo tum, Mera geet Amar kar lo.

Na ruthne ka dava kiya tha, par wafa Toh Hona hi tha,
Kya hua tera vaada, voh Kasam, voh irada,
Voh kehne vaale, Mujhe 'fareebi' , Kon farebi hai Yeh bata,
Voh jisme gam liya pyaar ke khatir, Ya jisne pyaar ko bech diya?

Shama chahte hai, kyunki darr se darr te hai.
Few lines are used by an indian singer.
AADI Dec 2019
voh khilkhilaati hansi raaz hai iska yaa tera mujhe ektak dekhe jaana
najaane kyun main tujhse itna pyaar karti hu ...
pyaar toh pyaar main voh bhi beshumaar karti hu...
jhootha hai tu jaanti hu magar phir bhi pata nhi kyun aitbaar karti hu...
jaanti hoon tu nhi aaega mgr phir bhi roz tera intezaar karti hu...
kuch is tarah main apne 24 ghnte kharaab karti hu ..
thaki nhi hu intezaar se abhi jaa tere liye ek aur saal brbaad krti hu
kuch is qadar main tujhse pyaar krti hu aur voh bhi beshumaar karti hu !
-aadi
Snigdha Banerjee Aug 2016
(Let them see the world)
Dekho Manhooos Paida Hui Hai
Sabke Chehere Pe Maatam Chaa Gaya
Aur Betii Bojh Ban Gayi

Bojh Shayad Kuch Kam Hua Tha
Jab Iskaa Ek Chotaa Bhaii Hua Tha

Par Shayad Kabse Sach Hua Tha
Simaat Gayi Akelepan Mein

Baith Baith Ke Sapne Bunti
Raat Ko Voh Taare Gintii

Gintii?
Gintii Toh Mujko Aati Nahi

Baabujii Ne School Nahi Bheja Mujko
Betii Hoon Naah? !!

Aaj Veera Aayega Toh Ussey Kahungi
Gintii Sikhaa De. :')
Taaare Ginne Hai Mujko

Betii Honaaa Paap Hai
Betii Toh Bojh Hotii Hai Naah
Papa Bhi Yahii Kehete Hai

Solaah (16) Saal Kii Umaar Me
Voh Laal Jodaa Mujhpe Bojh Ban Gaya
Aur Baabuji Kaa Bojh Shayad Kuch Halkaa ** Gaya
Ispe Kayi Sitaare Lage The
Aur Muje Abbhi Gintii Nai Aatii Thi

Dekho Manhoos Paida Hui Hai
Mai Manhoos Banke Reh Gayi
Sabke Chehere Pe Muskaan Thi Aaj
Aur Beti Bojh Banke Reh Gaayi.
This is a poem about all those daughters who are still considered as a burden a bane.
ACCEPT THEM WITH SMILES
THEY AREN'T BURDENS
A MOTHERS SMILE HELP YOU GROW
A SISTERS SMILE NEVER LETS YOUR SMILE FADE AWAY
A DAUGHTERS SMILE KEEPS YOU YOUNG
Pratyush Jul 2019
Khubsurat sa desh tha pehle hamara,
Khub tareef karta tha yeh zamana,
Baat thi kuch uss desh meh nirali,
Kyuki Charo aur thi bas hariyali,
Badal chuki hai mere desh ki laali,
Tut chuki hai bhaichare ki daali,
Apne de rahe hai ek doosre ko gaali,
Aaj koi saath nahi manata holi ya diwali,
Kaha gayi mere desh ki voh hariyali,
Bandha hua hai desh dhaago se kaali,
Kaat dena hai voh dhage hume saari,
Banate hai desh ko jaise ek madhur kawaali,
Vapas aayegi mere desh meh voh laali,
Tareef karegi hamare desh ki duniya saari,
Saath milkar raho mere desh vaasi,
Door rahehi bhedbhav ki voh saaya kaali.
Ted Rufflepuff Mar 2015
Voh tanha raatein hai,
Jab tum saath na hoti **,
Jab khamoshiyaan satati hai,
Jab pyaar Mein dhoka hua hai,
Jab raat ka ujala naa **,
Jab ansuni baatein suni **,
Ki karra, aai rabba, Yeh tanha raatein.
#lamepoetry :3
Mayank Garg Jul 2020
Ek waqt tha jab voh humari khamoshi ki vajah bhi bin kahe jaan lete the

Ek waqt tha jab voh humari khamoshi ki vajah bhi bin kahe jaan lete the

Pata nahi aisa kya hua ki aaj voh humare rone ki vajah bhi na jaan sake
adwait Apr 2018
a pretext to the international audience..i am posting this as my rendition of the infamous tales of friendship turned love times...i tried to translate it into the universal language but it would fail to do justice . Yet if there is someone who would like to still understand what this will all be about ..message me and i shall give u the essence..happy reading :)


-----------dost ya zadda?----------------
ek ladka aur ladki kabhi dost nahi ** sakte,
keh gaye buzarg sab,nahi samajhti peedia
kis baat ka hai sharmana aab, par kaisi hai ye deewangi , jo dikhati mujhe pyaar aur tumhe dosti kitne kam samaye me hum kahan se kahan pohonch gaye , aur iss douran ham ek dusre ko kitna samajh gaye. tumhari bechaini samjhane ki , aur meri shiddat tumhe samajhne ki, chaand aata ,tehelta aur chala jata par hum na soote,jab log jaagte hum soote ,kya din the voh. in mukhauto ke peeche chupi jo asliat thi,jo unchui thi ,tum chu gaye , aur bass dil me bas gaye mahine guzar gaye aur kuch kehne ko dil chahta hai , par kya ye sahi rasta hai? kya ye mujhe aapne ghar pohoncha dega , ya banjara chod dega? najaane kab ye faisale aagay aur mujhe tumse door legaye jis dosti me aaj tak kuch nahi chipa ..aaj usme tijoria hai ... aaj usme gussa hai ,aag hai.. aaj isme gussa hai.
Mayank Garg Jul 2020
Voh humare saamne thi
Par hum uske paas jaa na sake

Voh humare saamne thi
Par hum uske paas jaa na sake

Kahi humare beech dooriyan na badh jaaye
Isliye iss baar bhi usse kuchh keh na sake
Mayank Garg Jun 2020
Ismein galti uski nahi ki voh humse mohabbat nahi karti

Ismein galti uski nahi ki voh humse mohabbat nahi karti
Galti shaayad humari hi thi ki hum usse izhar na kar sake
Mayank Garg Jun 2020
Hum usse mohabbat karte the
Ye shayad use pata na tha

Hum usse mohabbat karte the
Ye shayad use pata na tha
Voh bhi mohabbat usse kar baithi
Jise usse jyada uska **** pyaara tha
Pratyush Jul 2019
Mai  jee raha tha adhoora aaj tak,
Chahiye the saath tera mujhe har waqt,
Maangta tha tujhe paane ke hazaro mannat,
Iss baar Khuda ne sun li thi meri yeh ibadat ,
Aaj hai mere paas ek behen, joh sune meri har baat,
Ek behen, joh jhele mere bachpane ko har raat,
Dil se keh raha hoon, meri behen meh kuch toh alag hai baat,
Maa baap ne sabh kuch diya, par kuch cheez thi adhoori,
Aaj tum aagayi **, aur voh cheez ** gayi hai poori,
Meri pyaari behen, tum ** itni nek,
Mai fakr se keh sakta hoon, tum ** laakhon meh ek, Laakhon meh ek....


Pratyush.
Mayank Garg Jun 2020
-Mohabbat na karo tum uske **** se
-Kyunki woh **** bhi ek din bekaar ** jaayega

-Mohabbat na karo tum uske **** se
-Kyunki woh **** bhi ek din bekaar ** jaayega
-Mohabbat karo toh uske dil se
-Kyunki voh dil hi hai jo marte dam tak saath nibhaayega
Sneha shenoy Jun 2019
Aapki Nawaazish dekh ke  nawab khud sharmaye..
Aapki Voh vasl aur shiddat uns me dekh ke Hayat tham jaye..
Kya kare? AAP ** hi mukthalif
Ye vo iztiraar nahi ** AAP soch rahae hai !
Ye justajoo hai vo khawabedaa inaayat pane ke liye ..
Mere sayonee ab kya khahe ,
AAPke un aakhon ke Noor ne hamare chain Ko  fanaa kardiya hai!
Mayank Garg Jun 2020
-Voh hamare saath padhti thi
-Hum usse beintahaan mohabbat karte the

-Voh hamare saath padhti thi
-Hum usse beintahaan mohabbat karte the

-Par izhar karne ke baad dosti na khatam ** jaaye
-Isliye use batane se katrate the
Mayank Garg Jun 2020
GUM
-Hume gum iss baat ka nahi ki hum teri zindagi mein nahi hai

-Hume gum iss baat ka nahi ki hum teri zindagi mein nahi hai
-Hume toh gum iss baat ka hai ki jise tune chuna voh tere kaabil nahi hai
Mayank Garg Jun 2020
-Aaj humari kabr pe voh rone aaye hain
-Humse pyaar hai ye kehne aaye hain

-Aaj humari kabr pe voh rone aaye hain
-Humse pyaar hai ye kehne aaye hain
-Jab zinda the tab rulaya bahut tha
-Ab aaraam se soye hain toh jagaane aaye hain
Mayank Garg Jul 2020
Khamoshiyan bol deti hain jinki baatein nahi hoti

Ishq toh voh bhi karte hain janab jinki mulakaatein nahi hoti
Mayank Garg Jun 2020
Aurat kabhi khilauna nahi hoti

Voh toh bhagwaan ke baad voh chamatkar hai

Jo maut ke mooh mein jaakar
Nayi zindagi ko janm deti hai
Mayank Garg Jun 2020
Bura waqt bhi nahi hota itna bura

Usme bhi hoti hai ek achhai

Kyunki voh bura waqt hi hai

Jo dikhata hai hume apne paraaye ki sacchai
AADI Dec 2019
ek dil hi toh smbhaalne ko diyatha tumhe... humne kaunsi jannat maangli ...
voh dil jb todh kar fenk dia tumne toh humne bhi tumhari barbaadi ki mannat maangli
-aadi
Mayank Garg Dec 2020
Aaj murjha gaye voh phool
Jo kabhi khila karte the

Ek samay tha jab
Hum bhi khulke muskuraya karte the.....
Mayank Garg Jul 2020
Rishton ke naam bhi kitne ajeeb hote hai

Kehne ko toh voh dost hain

Par parivaar se jyada kareeb hote hain
Mayank Garg Jun 2020
Mujhe chhodkar voh khush hai
Toh shikaayat kaisi

Ab main unhe khush bhi na dekh saku
Toh ye mohabbat kaisi

— The End —