"vapas" poems
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
hai ab to bas intjaar us pal ka,
kab fir se chahakna unka sun paunga,
meri choti choti baton par,
kab unka khilkhilana sun paunga,
kyun meri shikayat hai lagti buri,
k fir shikayat karne ka mauka hi cheen liya......
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
yun tanha chod k mujhko gaya,
kyun hak mujhpe jatana chod diya,
ab kaise karu mai unko khabar,
k unk bina na ji paunga,
agar aaye na vo vapas jaldi,
mai duniya chod chala jaunga,
hai ab bhi waqt vaapas aa jao,
kahin khabar na mile kisi aur se,
k yaaad me unki maine saanse bharna chod diya....
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya,
teri khushboo me jo madhoshi hai,
kyun mujhko juda hai usse kiya,
bas aur nahi takat mujhme,
maine khud ko samajhna chod diya,
na jaao mujhe yun ghayal kark,
aankhen bhi sath nahi deti,
aa jao mere pas sanam,
aab ashkon ne b bahna chod diya,
hai mujhse khafa kyun mera khuda,
kyun mujhse jhagadna chod diya.......
May 18, 2019
May 18, 2019 at 4:53 AM UTC
ek hawa ka jhonka aaya,
sang apne tere hone ka ehsaas laya,
chookar mujhe vo kuj is tarah,
laut gaya jaise k aakar tum chale jate **
ek hawa ka jhonka aaya,
sang apne teri khushboo laya,
mahkaya har taraf kuj is tarah,
k jaise tum pal bhar me mujhme sama jate **
aur fir se mujhse door chale jate **
ek hawa ka jhonka aaya,
sang apne kuj khatti mithi yaden laya,
thoda sa hansaya thoda sa rulaya,
kuj is tarh tumko mere paas bulaya,
jaise k pal bhar me tum mujhe apna bana k agle pal rooth jate **
aur thodi c khushi k baad gam mujhe de jate **
ek hawa ka jhinka aaya,
mujhe chookar vapas chala gaya,
kuj is tarah k jaise tum mujhse lipat jate **
sab kuj bhool jate **
mujhe pyar karte **
har khushi apni mujhme hi tarash lete **
aur fir vo waqt aata hai k door chale jate **
i love u
May 12, 2019
May 12, 2019 at 8:03 AM UTC
Khubsurat sa desh tha pehle hamara,
Khub tareef karta tha yeh zamana,
Baat thi kuch uss desh meh nirali,
Kyuki Charo aur thi bas hariyali,
Badal chuki hai mere desh ki laali,
Tut chuki hai bhaichare ki daali,
Apne de rahe hai ek doosre ko gaali,
Aaj koi saath nahi manata holi ya diwali,
Kaha gayi mere desh ki voh hariyali,
Bandha hua hai desh dhaago se kaali,
Kaat dena hai voh dhage hume saari,
Banate hai desh ko jaise ek madhur kawaali,
Vapas aayegi mere desh meh voh laali,
Tareef karegi hamare desh ki duniya saari,
Saath milkar raho mere desh vaasi,
Door rahehi bhedbhav ki voh saaya kaali.
Jul 3, 2019
Jul 3, 2019 at 1:00 PM UTC
Fariyad hai tumse,
Pyaar ko mere bhul na Jana,
Reham ke tarajo Mei pyaar ko,
Mere tol na Jana.
Fariyad hai tumse,
Dekh mere aankho mein aasu,
Samaj mujhe kamjor,
Sahare ke liye taras kha Kar ,
Aage apna haath mat badana
Fariyad hai tumse,
Pyaar ko mere bhoj na samajna ,
Tumhare kande ka bhaar nahi pank ,
Bana chahti hu.
Fariyad hai tumse,
Mujhe bhul na Jana,
Umeed toh nahi hai,
Par ** sake toh vapas laut aana.
Apr 13, 2020
Apr 13, 2020 at 3:51 AM UTC
Suno ,
Saath Dene ka vada tumne kiya tha,
Nibha hum rahe hai😓
Jab man Kare toh vapas aa Jana ,
Kyu ki intazaar ab bhi tumhara hum
Kar rahe hai.
Pucha tha tumne ek sawal,
"Tumhare Dil ka darvaja humesha khula rehega n mere liye "
Toh sun lo javab abhi "Ha" hai
Kyuki tumhara intazaar abhi hai😥
Sep 8, 2020
Sep 8, 2020 at 12:44 AM UTC
Suno,
Ek baat bolu,
Mere karjdar ** tum
Mera waqt udhar Jo liye **
Waqt aur intezaar dono interest
Ke saath vapas chahiye mujhe!
May 29, 2020
May 29, 2020 at 2:48 AM UTC